Masjid Ke Imam Sahab ne Azaan di Aur Jamat ke waqt Baitul Qala mein The

Aur Logon ko Nahi Maloom Ke wo Masjid mein Maujood hain.nnKisi ne Imam sahab se Ijazat nahi li Aur waqt e Muqarrara se 5 minute zyada hojane par kisi aur ko Namaz Padhane ke liye Kaha gaya.nnAur Namaz Ba Jamaat Ada karli Gayi.nnNamaz Ke Baad Muqarrara Imam Sahab Ne Kaha Ke Kisi ki Namaz Nahi hui.nnKyunki Imam Masjid mein the unki ijazat ke baghair Jamaat qayem ki gayi.nnLihaza dobara jamaat qayem karke Namaz Adaa ki gayi.nnKya Ye Durust Hai?nnKya waqai pehle qayem ki hui Jamaat Ghalat hai?nnKya doosri Namaz ka alag sawab milta hai?nnBaraye Meherbani Jawab Inayat Farmayein.nnJawab:nnJo Muqtadi Har waqt rehte hain wo maujood the to Ye Jamaat e Ula ho gayi.nnImam ka ye kehna ke kisi ki Namaz na hui Jihaalat hai.nnHaan! Imam ka Intezar karna zaruri tha, magar jab ke Ye Ma’loom tha ke Imam Maujood hi nahi aur kuch der Intezar bhi kiya gaya to is me koi gunah nahi.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love