Namaz Mein Aurto Ko Qirat Kitni Awaz Se Padhni Chahiye

Or Mard Ke Liye Qirat Ka Kya Huqm Hai?

Jawab:

Jin Waqto Mein Sirri Qirat Ki Jaati Hai (Jaise Zohar, Asar) Unme Mard Ahista Qirat Karein Aur Jinme Jehri Qirat Ki Jaati Hai Unme Jehr Ke Sath Bhi Qirat Kar Sakta Hai.

Lekin Auratein Hamesha Ahista Awaz Mein Hi Qirat Karein.

Haan Agar Koi Gair Mahram Maujood Na Ho Aur Na Awaz Gair Mahram Tak Jaane Ka Andesha Ho To Kuch Unchi Awaz Mein Parh Sakti Hain.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love