Ek shakhs ka 2 kattha zameen tha uspar unlogo ne aaj se 60 ya 70 saal pahle apna personal Qabristan banaya tha

Uske baad unlogo ne wo qabristan mein dafnana band kardiya kuch ikhtelaaf ke waja se.

Ab uss qabristan ka Batwara hua jiske 4 hisse hue or usme se 3 hisse par waha ke logo ne apna apna ghar bana liya hai.

Kya ab jo ek hissa baaqi hai uspar zaid ghar bana sakta hai.

Jawab:

Jab wo Zameen Qabristan ke liye waqf ho gayi, to ab us par makan banana jaayez nahi.

Behtar hai ke tafseel ke sath darul ifta mein istefta karein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love