Juma Ke Khutba Ki Azaan Imam Ke Samne Masjid Ke Andar Padhna Sunnat Hai Ya Bahar?

Jawab:

Juma Ke Khutba Ki Azaan Imam Ke Samne Masjid Ke Bahar Padhna Sunnat Hai Ki Huzoor Alaihissalatu Wasallam Aur Sahaba e Kiraam Ke Zamana Mein Khutba Padhne Wale Ke Samne Masjid Ke Darwaza Hi Par Hua Karti Thi.

Jaisa Ki Hadees Ki Mashoor Kitaab Abu’Dawood Jild Awwal Safa 162 Mein Hai Ki Hazrat e Saib Yazeed Radi’Allahu Ta’aala Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki Jab Rasoolullah Sallallahu Ta’ala Alaihi Wassallam Juma Ke Roz Mimbar Par Tashreef Rakhte.

Toh Huzoor Ke Samne Masjid Ke Darwaze Par Azaan Hoti Aur Aisa Hi Hazrat e Abu Bakr wa Hazrat e Umar Radi’Allahu Anhuma Ke Zamane Mein.

Isi Liye Fatawa Qazi Khan, Aalamgiri , Bahrur’rahiq Aur Fathul Qadri Wagairah Mein Masjid Ke Andar Azaan Dene Ko Mana Farmaya Aur Tehtawi Alam’raqil Falah Ne Makrooh Likha.

Share your love