Kya Qabro Par Imarat Banana Sahi Hai

Jawab:

Qabr Ko Andar Se Pokhta Karna Mana Hai Aur Bahar Se Pokhta Karne Mein Harj Nahi.

Magar Awaam Ki Qabron Ko Pokhta Na Kiya Jaayein.

Jis Tarah Qabr Par Chalna Phirna Baithna Mana Hai.

Usi Tarah Qabr Par Deewar Khadi Karna Mana Hai.

Yani Qabr Deewar Mein Shamil Ho Jaayein Ye Jaayez Nahin Aur Kisi Bhi Dargaah Ki Imarat Aisi Nahi Hoti Ke Qabr Par Deewaar Khadi Ho.

Balkeh Qabr Ke Ird Gird Deewar Banayi Jaati Hai Aur Wahabi Devbandi Gair Muqallid Wagairah Us Hadees Shareef Ko Daleel Bana Kar Mana Karte Hain.

Ye Auliya E Kiraam Se Dushmani Hai Ke Jis Hadees Shareef Se Qabr Ko Deewar Banane Ki Mumanat Hai.

Us Se Qabr Ke Ird Gird Imarat Banane Ki Bhi Mukhalfat Karte Hai.

Allah Taala Unke Shuroor O Gumraahi Se Ham Ahl E Sunnat Ko Mahfooz Rakhe.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love