Ramzan Sharif ke Hadees aur Fazilat
Hadees: Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu ta’ala Anhu Farmate hain ke Huzoor Sallallahu Ta’ala Alaihiwasallam Farmate hain.
Jab Ramzaan aata hai, aasman ke darwaze khol diye jaate hain.
Ek riwayat Mein hai ke Jannat ke darwaze khol diye jaate hain.
Ek Riwayat Mein hai ke
Rehmat ke darwaaze khol diye jaate hain.
(BUKHARI & MUSLIM SHARIF)
Hadees: Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Se riwayat hai ke Huzoor-e-Aqdas sallallaahu Ta’ala Alaihi wasallam ne farmaya ke Ramzan Aaya ye barkat ka mahina hai Allah Ta’ala iske roze tumpar farz kiye, Isme Aasman Ke Darwaze khol diye jaate hai aur dozakh ke darwaaze bandh kar diye jaate hai aur sarkash shaitaano ke tauqe daal diye jaate hai.
(NASAI SHARIF)
Hadees: Hazrate Sahal ibne saad Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Marwi hai ke Rasoolullah Sallallahu Ta’ala Alahi Wasallam Farmate hain.
Jannat Mein 8 darwaze hain, unme ek darwaze ka naam RAIYYAAN hai Uss darwaaze Se wohi jayenge jo roze rakhte hain.
(BUKHARI)
Hadees: Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu se Riwayat hai ke Rasoolullah Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ne FarmayannJo Imaan ki wajah se Aur sawab ke liye Ramzan ka Roza Rakhega uske Gunah bakhsh diye jayenge aur jo imaan aur sawab ki Niyat se ramzan ki raato ke qayaam karega.
(Nawafil padhega) uske agle gunah maaf kar diye jayenge.
(BUKHARI,Muslim Sharif)
Hadees: Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu se Riwayat hai ke Huzoor-E-Aqdas Sallallahu Taala Alahi Wasallam Irshad Farmate hain.
Agar kisine ek din nafl Roza rakha Aur Zameen Bhar use sona diya jaaye jab bhi uska sawab poora na hoga. Uska Sawab to qayamat hi ke din milenge.
(TIBRANI)
Hadees: Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu se Riwayat hai ke Rasool-E -Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ne farmaya.
Har cheez ke liye zakat hai aur badan ki zakat Roza hai aur Roza Aadha sabr hai.
(Ibne Majah)
Hadees: Hazrate Abu Masood Gaffari Radiyallahu Ta’ala Anhu se Riwayat hai ke Huzoor-E-Aqdas Sallallahu Taala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya.
Agar Bandon ko maloom hota ke ramzan kya cheez hai to Meri ummat tamanna karti ke poora saal ramzan hi ho.
(Ibne Khuzaima)
Hadees: Hazrate Salmaan Farsi Radiyallahu Ta’ala Anhu se Riwayat hai ke Huzoor-e-Aqdas Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya.
Ramzan ki Raat Mein Qayaam (Namaz padhna) Tato’o ( Sunnat hai) Jo Isme Neki ka koi kaam karein to aisa hai jaise aur kisi mahine Mein farz ada kiya aur Isme jisne farz ada kiya to aisa hai jaise aur dino Mein 70 farz adaa kiye.
(Baihaqi)
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi