Rajjab Ke Mahine Ka Khaas Amal

Rajjab Ke Mahine Ki Pehli Tareekh Ko Fajar Ki Namaz Ke Baad Ek Mutthi Aata (Wheat Flour) Nikalna Hai Aur Dusre Dibbe Mein Ya Kisi Dusre Bartan Mein Rakhna Hai.

2nd Day Bhi Aapko Aata Nikalna Hai, Magar 2 Muthhi

3rd Rajjab Ko 3 Muthhi Aata.

4th Rajjab Ko 4 Muthhi Aata Rozana 4 Din Tak Nikal Kar Ek Bartan Mein Jama Karein Aur 4 Tareekh Ko 11 Baje Se Pehle Pehle Fatiha Dilana Hai Wo Is Tarah Ke.

Aate Ko Bade Thaale Mein Daal Kar Barbar Barabar 2 Hisse Karna Hai.

Aadhe Ka Halwa Aur Aadhe Ka Parathha Banana Hai.

Aur 4 Qutub Ke Naam Par Fatiha Dilana Hai.

4 Qutub Ke Naam Ye Hain.

1. Qutubddeen Khawaja Abdul Kareem
2. Qutbuddeen Khawaja Abdur Rasheed
3. Qutbuddeen Khawaja Abdur Raheem.
4. Qutbuddeen Khawaja Abdul Jaleel.

In Chharon Ke Naam Par Fatiha Dilana Hai 12 Baje Se Pehle Pehle.

Ye Band Rozi Khulne Aur Rozi Ki Barkaton Ka Khaas Amal Hai.

Jise Aala Hazrat Ne Fatawa Razviya Mein Irshaad Farmaya Hai.

Kya Aisa Koi Amal Fatawa Razaviya Mein Hai?

Jawab:

Mere Ilm Mein Aisa Koi Amal Fatawa Razavia Shareef Mein Is Tafseel Ke Sath Zikr Nahi.

Wa-Allahu Taala Alam

Haan! Shama Shabistan E Raza Mein Ek Amal Zikr Hai Ke Hamesha Pure Maheene Ek Ek Mutthi Atta Jama Karein Aur Maheene Ke Akhir Mein Chaaro Aqtaab Ke Naam Fatiha Karein Aur In Charo Aqtaab Ki Tareekh E Wisaal 4 Rajab Hai.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love