Kya Salat O salam ko aise padhna sahi hai.
2. Kuch sunni aalim log kehte hai mobile mein tasweer kheechna jayez hai, faqath print karna haram hai. Kya ye sahi hai?
3. Aise aalim per kya hukm hai?
Jawab:
Music haram hai.
ليكونن من أمتي أقوام يستحلون الحر والحرير والخمر والمعازف
Zaroor meri unmat main kuch log aise hone waale hain ke halal tehraenge auraton ki sharamgaah, Yani zina Aur reshmi kapde Aur sharaab Aur bajo ko.
Sahih Bukhari.
Jaandaar ki tasweer haram hai, chahein jahan bhi ho.
Jo Alim Tasweer Ko Jaayez samjhein Mohtaat Ulama e kiraam ke Nazdeek Uske Peeche Namaz durust nahi.
Wa-Allah Ta’ala A’lam
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi