Hadees Sharif mein hai ki Jumma momino ki eid hai

Aur dusri jagah aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki Jisne eid ko Roza rakha, usne meri na farmani ki.

To kya jumma ke din nafil Roza rakh sakte hai?

Isi tarah Jumma ko Qaza roza rakhna kaisa?

Kuch log kehte hain nafl roza single nahi rehna chahiye, 2 ya usse zyada rehna chahiye.

Kya ye sahi hai.

27 rajab ko ek hi roza nafl agar karein, to kya hoga ya nahi?

Jawab inayat farmaye meherbani hogi.

Jawab:

Jumuah Ke Din Khaas taur se Jumuah ke din ke liye Roza rakhna mana hai.

Haan! agar koi Mubarak din ho, to harj nahi.

Isi tarah jumuah ke din qaza roza rakhne mein bhi harj nahi.

Nafl roza single rakha ja sakta hai.

Haan! Ashura ka roza Single na rakhe ke yahudio ki mukhalifat ho.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love