Kisi Ghar Mein Agar Inteqal Hojaye To Wo Ghar Wale Ko Khana Wagera Banane Se Kyu Mana Kiya Jata Hai?

Iski Kuch Sharayi Wajah Hai?

Jawab:

Bahut Mumkin Hai Keh Us Din Ghar Mein Inteqaal Ke Sabab Ghar Walon Ko Khana Banane Mein Dushwari Ho.

Gham Ki Wajah Se Khana Na Banane Par Bhuke Rahne Ka Andesha Ho Is Wajah Se Agar Koi Unke Liye Khana Tayyar Karein To Woh Khud Na Banaaye Aur Logon Ke Liye Ye Sunnat Bhi Hai Ke Unke Liye Khana Bheja Jaayein.

Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi RadiAllahu Taala Anhu Irshad Farmate Hai.

Pahle Din Sirf Itna Khana Ke Mayyit Ke Ghar Walo Ko Kaafi Hai Bhejna Sunnat Hai.

Isse Ziyada Ki Ijazat Nahi, Na Dosre Din Bhejne Ki Ijazat, Na Auron Ke Waste Bheja Jaayein Aur Na Aur Usme Khaaye.

(Fatawa Razviyyah Kitaabul Janaayez)

Haan Agar Koi Bhi Khana Bhejne Wala Nahi Aur Mayyit Ke Ghar Wale Khud Hi Khana Bana Le To Isme Harj Nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love