Halala Kaise Ada Hota Hai

Agar Usi Biwi Ko Jisko Talaq De Diya Hai. Use Wapas Nikah Mein Lena Hai. To Kya Karna Hoga?

Jawab:

3 Talaq Dene Ke Baad Usi Shauhar Se Dobarah Nikah Karne Ke Liye Halala Ki Zaroorat Hai.

Halala Ye Hai Ke Pahle Shauhar Ki Iddat Guzarne Ke Baad Kisi Sunni Sahihul Aqeedah Mard Se Us Aurat Ka Nikah Ho.

Phir Woh Dosra Shauhar Hambistari Bhi Karein.

Phir Agar Woh Dosra Shauhar Talaq De De, Ya Wafaat Pa Jaayein. To Phir Is Talaq, Ya Maut Ki Iddat Guzare.

Iddat Guzarne Ke Baad Ab Pahle Shauhar Se Nikah Ho Sakta Hai.

Agar Dosra Shauhar Hambistari Na Karein Aur Talaq De De To Halala Nahi Hua.

Halala Ke Liye Hambistari Zaroori Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love