Mureed hona kaisa hai wajib hai ya sunnat?

Neez mureed kyun karwate hain? Mureed hone ka kya fayida hai?

Jawab:

Aalahazrat RadiAllahu Talaa Anhu is suwaal ke jawab mein irshad farmate hain:

Mureed hona sunnat hai aur isse Huzoor Salllallahu Alaihi Wasallam se ittisaale musalsal.

Tafseere Azeezi dekho.

Ayat e Kareema (Raasta unka jinpar tune inaam kiya) mein iski taraf hidayat hai.

Para 1, Surah Fateha, Aayat 6

Yahan tak farmaya gaya:

Jiska koi peer nahin uska Peer shaitaan hai.

Awariful Maarif, 78

Risala Qushariyat, Page 181

Sehate aqeedat ke sath silsila sahih muttasila me agar intisab baqi raha to nazar wale to uske barakaat abhi dekhte hain, jinhe nazar nahin wah naza mein, qabr mein, hashr mein iske fawayed dekhenge.

Fatawa Razawiya, Volume 26, Page 570

Share your love