Qurbani Karne Ki Fazilat Kya Hai?

Huzur sallallahu Alahi wasallam farmate hai ke Qurbani karnewale ko Qurbani ke Jaanwar ke har baal ke badle mein ek neki milti hai.

Jisne khush dili se sawab paane ke liye Qurbani ki to wo jahannam ki aag se hijaab (parda/rukaawat ) ho jayegi.

Aey Fatema Apni Qurbani ke paas Maujood Raho kyun ke uske khoon ka pehla Qatra girega to Tumhare sare gunah maaf kar diye jayenge.

Jisko bhi Qurbani karne ki wus-at (taaqat) ho or fir bhi wo Qurbani na kare to hamari Eidgaah ke Qarib na aayein.

QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB HAI TO

Agar kisi par Qurbani Wajib hai Aur us Waqt uske paas Rupaye nahi to udhaar lekar, ya koi chiz bech karke Qurbani karein.

(Fatawa-E-Amjadiya-Jild,3, Safa,315)

Hazrat e Ahmed bin Ishaaq Rehmatullah alahi kehte hain ke, Mera ek gharib bhai tha, Gharib tha fir bhi Allah ki Raza ke liye Qurbani karta tha.

Uske marne ke baad maine khwaab dekha ke qayamat aa gayi or nafsa nafsi ka maahol hai.

Maine dekha ke Mera bhai Ek ghode par sawaar hai or dusre ghode bhi uske saath hai.

Maine poocha ke Allah ki baargah mein tera kya maamla raha to wo bola ke

Ek budhiya ko ek dirham dene ki wajah bakhsh diya.

To maine poocha ke ye sab ghode?

To kehne laga ke Ye sab meri Qurbaniyan hai or jis par mein baitha hu ye meri pehli Qurbani hai.

To maine poocha ke ab kidhar jaa rahein ho.

To bola ke, JANNAT ki taraf Aur meri nazron se gayab ho gaya.

Ye to nafli Qurbani ka ajar o sawab hai Wajib ka aur zyada sawab hoga Aur Ek dusra pehlu ye bhi pata chala ki Jo log Waajib hone ke baad bhi Qurbani nahi karte unke liye bhi is mein ibrat O raghbat hai, Ke Wo kitni badi saadat se mehroom ho rahe hain or gunahgaar bhi ho rahe hain.

DURRATUN NAASIHIIN

TIRMIZI

AL MO JAMUL KABIR

AS-SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQI

ABLAQ GHODE SUWAAR

POSTED BY Mehfil E Gulam E Mustafa

Share your love