Hazrat Namaz Mein Ya khaana khaate waqt topi pehna kaha se sabit hai

Kya ye sunnat tarika hai ya sirf adab ke lihaz se hai ?nnJawab:nnNamaz me sar dhankne se Muta’lliq Huzoor sadrushshari’ah badruttariqah ???? ?????? ???????? irshad farmate hainnnSusti se nange sar namaz padhna yani topi pahanna bojh ma’loom hota ho, ya garmi ma’loom hoti ho makrooh e tanzihi hainnAur agar tahqeer namaz maqsood Hai.nnMaslan namaz koi aisi muhtam bishshan chiz nahi jiske liye topi amamah pahna jaaye to ye kufr hai aur khushu o khuzu ke liye sar barhana padhi to mustahab hai.nnNamaz mein topi gir padi to utha lena afzal hai.nnJab keh amal e kaseer ki haajat na pade warna namaz fasid ho jaayegi aur baar baar uthani pade to chhod de aur na uthane se khuzu maqsood ho to na uthana afzal hain(Bahar e shari’at hissa 3 safah 171 makroohaat ka bayan)nnHadees shareef mein hai sarkar e aqdas ??? ???? ????? ???? ???? irshad farmate hain keh hamare aur mushrikeen ke maa bain ye farq hai keh hamare hamare amaamah topiyo par hote hain.nn(Tirimzi shareef / Bahar e shari’at hissa16 safah 41 libas ka bayan)nnMaujoodah zamane mein wahabi gair muqallid topi pahanne se inkar karte hain aur unke baare mein Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi ??? ???? ????? ??? irshad farmate hainnnGair muqallideen zamana bahukm e fuqha o tasreehaat e aamma e kutub e kutub e fiqhiyya kafir the hi aur tajarba ne sabit kar diya keh woh zaroor munkiraan e zarooriyaat e deen hain aur unke munkiro ke haami o hamraah to yaqeenan qat’an ijma’an unke kufr o irtedaad mein shak nahin.nn(Fatawa razviyyah jild 3 safah 355)nnAur rahi baat khana khate waqt to ye khane ke Adaab se hai ke Sar dhank kar khaya jaaye aur imam o topi pahenna Momin ki shaan aur kuffar se imtiyaz ka ek Nishaan o Alaamat hai.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love