Suna Hai Muharram Mein Sirf Hazrat E Sayyiduna Imam e Hussain

Aur Digar Shohda-E-Karbala Radi Allaho Anhum Ajmaeen Ko Hi Isaale Sawab Kar Sakte Hai Aur Kisi Ko Nahi Kiya. Kya Ye Baat Durust Hai

Jawab:

Ji Nahi.! A’ala Hazrat Farmate Hai: Muharram Waghaira Har Waqt Zamana Mein Tamaam Ambiya AlaiyhimusSalaato Wassalaam Aur Auliya-E-Ikraam Ki Niyaz Aur Har Musalmaan Ki Fatiha Jayez Hai. Agarche Khas Ashura Ke Din Ho.

Mazeed Irshad Farmate Hai: In Ayyam/Dino Mein Siwaye Imam e Hassan O Imam E Hussain Radi Allaho Ta’ala Anhuma Ke Kisi Ki Niyaz Fatiha Na Dilana Jihalat Hai. Har Mahina Har Tarikh Mein Har Wali Ki Niyaz Aur Har Musalman Ki Fatiha Ho Sakti Hai.

Share your love