Salatul Tasbeeh Ka Tarika

Salatul Tasbeeh Mein Beinteha Sawaab Hai, Baaz Muhaqqiqeen Farmate Hai Ki Uski Buzurgi Sunkar Tark Na Karega, Magar Deen Mein Susti Karne Waala.

Hadees Shareef Mein Hai Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Hazrate Abbas RadiAllahu Anhu Se Farmaya Ki

Aye Chacha Agar Tum Se Ho Sake Toh Salatul Tasbeeh Roz Ek Baar Padho, Agar Roz Na Ho Sake Toh Har Jumma Ko Ek Baar Padho Aur Yeh Bhi Na Ho Sake, Toh Har Mahine Mein Ek Baar Padho Aur Yeh Bhi Na Ho Sake Toh Har Saal Mein Ek Baar Padho Aur Yeh Bhi Na Ho Sake Toh Umr Mein Ek Baar Padho?.

Salatul Tasbeeh Ka Tarika

Tirmizi Mein Hazrate Abdullah Ibne Mubaarak Se Iss Tarah Mazkoor Hai Ki:

Takbeer Tehrima Ke Baad Sana Padhe Phir Pandrah (15) Baar Yeh Tasbeeh Padhein SUBHANALLAHI WALHAMDU LILLAHI WALA ILAHA ILLALAAHU WALLAAHU AKBAR

Phir Taouz, Tasmiya, Surah e Fatiha Aur Surat Padh Kar Dus (10) Baar Upar Waali Tasbeeh Padhein.

Phir Ruku Karein Aur Ruku Mein Dus (10) Baar Padhein.

Phir Ruku Se Sar Uthaaye Tasmia-Wa-Tehmeed Ke Baad Dus (10) Baar Wahi Tasbeeh Padhein.

Phir Sajde Ko Jaayein Aur Usme Dus (10) Martaba Padhein.

Phir Sajda Se Sar Uthaaye Toh Dus (10) Baar Padhein.

Phir Dusre Sajde Mein Jaayein Toh Dus (10) Baar Padhein.

Iss Tarah Chaar Rakat Padhein Aur Ruku Wa Sujood Mein SUBHANA RABBIAL AZEEM aur SUBHANA RABBIAL AALA Kehne Ke Baad Tasbeeh Padhein

Share your love