Ji Mai Bhohat Parishan Hu, Sajde Mein Dua Mangna kaisa

Jaise Hum Sunte Hai Aur Hadish Se Sabit Wa Hai Ke Sajde Mein Banda Allah Ke Bahut Qarib Hota Hai Aur Har Dua Qubul Hoti Hai.

Magar Kaise Sajde Mein Dua Mangu.

Bahut Sare Log Bolte Hai Ke Namaz Mein Jo Sijda Hoti Hai Sajde Ki Tasbih Padhne Ke Baad Dua Karein To Dua Jald Qabul Hoti Hai.

Kya Aisa Karne Se Namaz Ki Niyat Tutegi Na.

Bahut Log Bolte Hai Namaz Mokammal Karne Ke Baad Sajde Mein Jakar Dua Karein.

Jawab:

Namaz Ke Ilawa Sajde Mein Duaayein Karein Aur Sajde Mein Wahi Dua Karein Jinka Talluq Akhirat Se Ho.

Yaani Gunaho Se Magfirat, Jannat Wagairah Ke Liye Sajde Mein Dua Karein.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love