Huzoor ? Ke Samne Kaisa Khada Hona Chahiye?

Jaise Namaz Me Khada Hota Hai waise khada ho.nnKamaale adab wa haibat, wa khauf, wa ummid ke saath kandile Aqdas ke Neeche us chaandi ki keel ke saamne.nnJo hujra e mutahrah ki dakheeni deewar me chara e anwar ke mukabil (samne) lagi hai.nnKam se kam chaar haath ke faasile se Kibla ko peeth Aur Mazar E Anwar ko Muh kar ke Namaz ki tarah haath Baandeh khade ho.nnLubaab wa sharahe lubaab wa ikhtiyaar sharah mukhtar wa fatawa Aalamgeeri wagairah Mo’Atabar kitabo me is Adab ke baare me saaf saaf likha hai ki.nnHuzoor ? ke saamne Aisa khada ho jaise Namaz me khada hai.nnYah ibarat Aalmgeeri wa ikhtiyaar ki hai Aur Lubaab me Farmaya.nnDastbasta dahna haath Baayein par Rakh kar khada ho.nnKhabardaar– Jaali Sharif ko bosa dene Ya Haath lagane se Bache, ki Adab ke khilaf hai. Balki Chaar Haath faasile se jyaada karib na jaao Yah Unki Rahmat kya kam hai ki tum ko Apne Huzoor bulaya.nnApne Muwaajah-e-Aqdas yaani mazaar sharif ke Bilkul saamne Jagah Bakshi.nnUnki Rahmar Aur Nigaahe karim Agarche har jagah tumahri taraf thi Ab khususiyat Aur is darja kurb (Najdiki) ke saath hai?nnWalillahil hamd.n

Bahare sharee’at Hissa 06 Safa 139

n

??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love