Agar wazu na hoto Namaz, Sajda-E-tilawat, namaz e janaza Aur Quran Sharif Chhune ke liye wazu karna. Farz hai.
Tawaf ke liye wazu Wajib hai.
Ghusl e Janabat se pahle Aur junub ko khaane peene Aur sone Aur Azaan, iqamat Aur jumuah Aur Arfa mein thaharne Aur Safa Aur Marwa ke Darmiyaan sai ke liye Wazu kar lena sunnat hai.
Sone ke liye Aur sone ke baad Aur mayyat ke Nahlaane, ya ithaane ke baad Aur sohbat se pahle Aur jab gussa Aa Jaaye us waqt Aur zabaani Quran Sharif padhne Aur jumuah Aur Eid, bakra Eid ke Alawa baaki khutbo ke liye dini kitabo ko chhune ke liye satre galiz.
- Yaani peshab paakhane ki jagah ko chhune ke baad,
- Jhoot bolne,
- Gaali dene,
- Buri baat kahne,
- Kafir se badan chhu jaane,
- Salib Ya bhoot chhune,
- Moodhi, ya safed daag waale se chhu jaane,
- Bagal khujlaane se jabki usme badboo hoo,
- Geebat karne,
- Kah-kaha kagaane (yaani joor se hasne),
- Lagw (yaani behuda Asha’Aar padhne),
- Oont ka gosht khaane,
- Kisi Aurat ke badan se apna badan bina rukawat ke chhu jaane se
- Aur wazu waale adami ke namaz padhne ke liye in sab surato mein wazu karna Mustahab hai.
Bahar-E-Sahari’At Dusra Hissa Safa 21
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi