Laqab: Ameen-ul-Ummat.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ki wiladat 583 A.D me Makka me hui.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ke waalid ka naam Abdullah ibn Jarrah aur walida ka naam Hazrat e Umaima bint e Ghanam hai.nnAap Quraish ke Banu Haaris ibn Fihr qabeele se ta?alluq rakhte hain.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu As-Saabiqoon Al-Awwaloon me saamil hain.nn610 A.D me Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ke eylaane nabuwwat ke baad Aapne dusre hi din Hazrat Abu Bakr Siddiq radiy-Allahu ta?ala anhu ki daawat se Islam apnaya.nnMusalman hone ke baad Quraish Aapko beshumaar takleef di. Aapne har takleef aur sakhti bardaasht karli, magar Islam na chhoda.nn5 Nabawi (615 A.D) mein apne Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat ki. Muhajireen ke is girooh (qafeele) mein 87 mard aur 17 aurtein thi.nKuchh arse baad Makka waapas aaye, to Quraish ne phir se unko takleef dena shuru kiya.nn1 Hijri (622 A.D) me Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne Madina Sharif hijrat ki.nnHuzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Muaz bin Jabal radiy-Allahu ta?ala anhu ko Aap ka bhaai banaya.nnHazrat Abu Ubaida Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu Ashra e mubashara mein se hai.nnHuzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya hai ki ?Har Ummat me ek Ameen (Trustee/Custodian) hota hai aur is ummat ke Ameen Abu Ubaida, Aamir bin Jarrah hai.?nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne Kuffaar ke khilaaf tamaam jung me shirkat ki sa?adat haasil ki.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ka shumaar Jungi umoor ke maahireen me hota hai. Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ki tadaabir maidaan e jung ka naqsha badal diya karti thi.nnAap ki qiyadat me musalmano ne us waqt ki sab se badi taaqat rome se takkar li aur kaamyaabi haasil ki.nnJung e Badr me Aap ke Kaafir baap ne jab Aap par hamla kiya, to aapne uska muqabala kiya aur uska sar qalam kar diya.nnJung e Uhad me Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke rukhsaar mubarak khaud (helmet) ki kadiyan paivast hone se jakhmi hue, to Aap Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke paas pahunche aur fauran un kadiyo ko apne daanto se nikalne lage. Un kadiyo ko nikalne me aapke agle 2 daant toot gaye.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ?Bai’at al-Ridwaan? me bhi saamil hue.nnJamadil ul aakhir 8 Hijri (September 629 A.D) me Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Amr bin Aas radiy-Allahu ta?ala anhu ko 300 musalman ke sath Banu Qudah ke khilaaf jung ke liye bheja.nnWaha pahunchkar jab unhe pata chala ke dushmano ki ta?adad bahot zyada hai, to unho ne Madina Shareef Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ko madad ke liye paighaam bheja.nnHuzoor sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ki sardaari me 200 musalmano ko rawaana kiya jinme Hazrat e Abu Bakr Siddiq aur Hazrat e Umar Farooq radiy-Allahu ta?ala anhuma bhi saamil the.nnYe jung ?Jung e Zaat-ul-Salaasil? ke naam se mash’hoor hai.nnRajab 8 Hijri (October 629 A.D) me Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne Aap ko 300 musalmano ke saath Banu Juhaynah par hamla karne ke liye Khabat bheja. Magar kaafiro ko iski khabar mil gayi aur waha se bhaag gaye.nnHuzoor sallallahu alaihi wa sallam ke wisal e zahiri ke baad Khalifa muqarrar karne ke liye log jama hue. Tab Hazrat e Umar Farooq radiy-Allahu ta?ala anhu Hazrat Abu Bakr Siddiq aur Hazrat Abu Ubaidah ibn Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhuma ke saath waha pahunche.nnHazrat Abu Bakr Siddiq radiy-Allahu ta?ala anhu ne logo se farmaya ke ?Ye do afraad mere pasandeeda hain. In dono me se jiski chaahe Bai’at kar lo.?nnTo Hazrat e Umar Farooq ne Hazrat Abu Bakr Siddeeq ki ta?areef karke unse bai’at ki to Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne bhi fauran Hazrat Abu Bakr Siddeeq se bai’at ki.nnHazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allahu ta?ala anhu ke zamane me Aap Hazrat Khaalid bin Waleed ke saath Jung e Bosra, Jung e Ajnadayn, Jung e Yakusa, Jung e Maraaj-al-Safar, aur Jung e Sanita-al-Uqab me saamil hue.nnHazrat e Umar Farooq radiy-Allahu ta?ala anhu ke zamane me Jung e Fahl, Jung e Maraaj-al-Rome, Jung e Damishq, Jung e Emesa, Jung e Yarmouk, Jung e Jerusalem, Jung e Hazir, Jung e Antioch, Jung e Qadisiyyah aur Jung e Jazeera me saamil hue.nnEk martaba Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne Islami lashkar ke saath Maqaam e Shaijar par qayaam kiya.nnRozaana kuchh musalman jungle jaakar lakdiya jama kake laate aur unko jalaakar khaana pakaate. Ek din jab wo gaye to waapas na aaye. Pata chala ki Jabla bin Aeham ki fauj ne unhe pakadkar qaid kar liya hai.nnHazrat e Khaalid bin Waleed radiy-Allahu anhu 10 ashaaba ko saath lekar musalman qaidiyo ko chhudaane ke liye gaye. Raaste me hi the ke unka muqabala taqreeban 10,000 kuffaar ke ek lashkar se hua.nnWo 10 ashaaba aise jawaan mardi se lade ki kuffaar ka lashkar bokhla gaya. Bil aakhir Musalman ladte ladte thakaan se behaal ho gaye aur kuffaar ba-zaahir un par galba paane lage.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu apne khaime me aaraam farma rahe the ki achaanak uth khade hue aur lashkar ko jung ke liye fauran tayyaar hone ka hukm diya. Logo ne Aap ki khidmat me arz ki ?Huzoor! Kya baat hai? Aap ne achaanak hi jung ki tayyaari ka hukm de diya hai??nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne farmaaya ?Abhi abhi maine khwaab me Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam tashreef laaye aur mujh se irshaad farmaya:- Aye Ibne Jarrah! Utho aur Khaalid bin Waleed ki madad ke liye pahuncho, unhe kuffaar ne gher liya hai.?nnYe sunkar pure lashkar ne fauran tayyaari shuru kardi aur Hazrat Khaalid bin Waleed ke paas pahunche. Islami lashkar ko dekhkar kuffaar bhaag khade hue. Lekin musalmano ne unka ta?aaqub jaari rakha aur is zor se hamla kiya ki unke qadam ukhad gaye aur unhe ibrat naak shikast ka saamna karna pada aur tamaam musalman qaidiyo ko bhi chhuda liya gaya.nnQasreen shaher (Misr) fateh hone ke baad Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ki ta?aleem wa Husn e sulook ko dekhkar waha ke nasraani (Christian) qabeele Banu Tanookh aur Banu Saleej ke logo ne Islam apnaya.nnPhir Hazrat e Umar Farooq radiy-Allahu ta?ala anhu ne Aap ko Shaam ka governor banaaya taake mulk ki hifazat ho.nnEk martaba Hazrat e Umar Farooq radiy-Allahu ta?ala anhu Madina munawwara se Mulk e Shaam tashreef laaye. Aap se mulaqaat ke duraan Hazrat e Umar Farooq ne farmaya ke ?Main apne bhai ka ghar dekhna chaahta hu.? Aap ne farmaya ?Huzoor! Aap waha na aayen yehi behtar hoga.? Hazrat e Umar Farooq ne jab israar kiya, to Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu unko saath lekar apne ghar par le gaye. Shahar e Damishq ki aabaadi khatm hone ke baad aakhir me khajoorke patto se bani hui ek jhoppadi nazar aai jiske andar sirf ek musalla tha aur ek talwaar aur dhaal thi.nnHazrat e Umar Farooq ne puchha ke ?Isme koi saamaan nahi hai. Tum is me kaise rehte ho??nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne jawab diya ?Alhamdulillah. Isme meri zaroorat ka saara saamaan hai. Is musalle par ibadat kar leta hu aur raat ko so bhi jaata hu.?nnPhir haath uthakar chappar me se ek piyala nikala jisme paani bhara hua tha aur sukhi roti ke tukde bhige hue the.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne farmaya ?Ameer-ul-mo?mineen! Main saara din hukoomat ke kaam anjaam dene me mujhe fursat nahi milti. Ek khaatoon mere liye rotiya paka deti deti hai. Main use khaa leta hu aur jab wo sukh jaaye to paani me bhigokar khaa leta hu.?nnYe sunkar Hazrat e Umar Farooq ki aankho me aansoo aa gaye.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne farmaaya ?Maine pehle hi kaha tha ke Aap yaha na aayein yehi behtar hoga.?nnHazrat e Umar Farooq ke zamaane me Arab me qahet saali hui, to unho ne tamaam governor ko khat likhkar Madina munawwara me anaaj bhejkar madad karne ke liye guzarish ki.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne fauran anaaj se lade hue 4000 oonto Madina munawwara rawaana kiye.nnHazrat e Umar Farooq ne Aap ko Madina munawwara aur qareeb me rehne waale logo me is anaaj ko taqseem karne ki zimmedaari sonpi. Aur Hazrat Abu Ubaida Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ko 4000 dinaar batore hadiya diye. Aap ne narmi ke saath use lene se inkaar kar diya.nnPariwaar:nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ka nikah Hind bint e Jaabir se hua.nHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ke 2 saahabzaade hain:nYazeed aur Umair.nn18 Hijri me mulk e shaam me taaoon (plague) ki bimari is qadar phaili ke beshumaar log iski wajah se marne lage. Ameer-ul-mo?mineen Hazrat e Umar Farooq radiy-Allahu ta?ala anhu ko iski khabar mili, to unho ne fauran Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu khat likhkar paighaam bheja ke ?Aap fauran Madina munawwara aa jaao. Yaha aap ka bahot zaroori kaam hai.?nnJab Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne khat padha, to jaan gaye ke ?Hazrat e Umar Farooq radiy-All?hu ta?ala anhu meri jaan bachaana chaahte hain.?nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ne jawaaban khat likha ke ?Main jaanta hu ke Ameer-ul-mo?mineen ko mera kya kaam hai. Magar jab musalman shadeed takleef me ho aise haalaat me main unhe chhodkar Madeena munawwara nahi aa sakta. Jaisi ALLAH ta?ala ki marzi hogi wo hi hoga. Ummeed hai ke aap meri is na-farmaani ko muaf kar denge.?nnJab Hazrat e Umar Farooq radiy-Allahu ta?ala anhu ne Aapka khat padha to unki aankho me aansoo aa gaye. Ye dekhkar ashaaba ne puchha ke ?Kya Hazrat Abu Ubaida ka inteqal ho gaya hai??nnHazrat e Umar Farooq ne farmaya ?Nahi, Magar wo aise haalaat me hai ke kabhi bhi dunya se rukhsat sakte hain.?nnApne wisaal ke kuchh waqt pehle Aap ne logo se irshad farmaya ke ?Meri chand nasihatein yaad rakhna taake tum hamesha amn o sukoon paao. Pabandi ke saath Namaz, Roza, Sadqa-Zakat, Qurbani, Hajj-Umrah ada karte rehna, ek dusre ko neki ki daawat dena, Ameer-ul-mo?mineen ke wafadaar rehna, kabhi bhi un ke khilaaf koi kaam mat karna, Apna farz sahi tareeqe se ada karte rehna aur dunya ki khwaahishaat me mat kho jaana.?nnPhir farmaya ?Agar insaan hazaar baras bhi dunya me zinda reh le lekin aakhirkaar ise chhodkar jaana hi hai. ALLAH tum sab par beshumaar rahmatein naazil farmaye aur tumhari hifazat farmaye.?nnPhir Hazrat Muaz bin Jabal radiy-Allahu ta?ala anhu se farmaya ke ?Jab mera intiqal ho jaaye to aap meri namaz e janaza padhana.?nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu Bait-ul-Muqaddas me namaz padhne ke liye jaa rahe the ki raaste me hi intiqal ho gaya aur Taaoon ke sabab Shahadat ka martaba paaya.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ka wisaal 19 Zil Hijja 18 Hijri (December 639 A.D) ko 58 saal ki umr me hua.nnHazrat Muaz bin Jabal radiy-Allahu ta?ala anhu ne Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ki namaz e janaza padhaai.nnHazrat Muaz bin Jabal Hazrat Amr bin Aas aur Hazrat Jahhaak bin Qais radiy-Allahu ta?ala anhuma ne Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ko qabr me utaara.nnHazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu ka mazaar Gaur Baisaan (Jordan Valley), Jordan (Syria) me hai.nnALLAH ta?ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Abu Ubaidah Aamir bin Jarrah radiy-Allahu ta?ala anhu aur Ashaaba aur tamaam Auliya Allah ke waseele se sabko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke imaan ki hifazat farmaye aur Sabko nek amal karne ki taufiq ata farmaye Aur Sabko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaye aur Sabki nek jaayez muraado ko puri farmaye.nAameen.