Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi

Alqaab: Qamar-e-Millat

Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ki wiladat 14 Shabaan 1365 Hijri (14 July 1946 A.D.) ko Mohalla Khwaja Qutub, Bareilly Shareef mein hui.

Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ke waalid ka naam Hazrat Maulana Muhammad Ibraheem Raza Khan urfe Jeelaani Miyan bin Hujjat-ul-Islam Hamid Raza Khan rahmatullahi alaihi aur waalida ka naam Sarkaar begum binte Hazrat Mufti e azam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullahi alaihi hai.

4 saal 4 maah 4 din ki umr me Aap ki Bismillah khwaani hui.

Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ne ibtidaai taleem apne waalide mohtaram Maulana Muhammad Ibraheem Raza Khan Bareilwi se haasil ki.

Phir Jaamia Razawiya Manzar e Islam mein Arabi, Faarsi aur Deeniyaat ki taleem haasil ki.

1379 Hijri (1960 A.D.) mein Hazrat Mufti e azam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullahi alaihi ke mureed hue.

1385 Hijri (1966 A.D.) mein Aligardh Muslim University tashrif le gaye aur Asri taleem haasil ki.

Aap Arabi, Faarsi, Urdu, Hindi aur Angrezi zabaano ke maahir the.

Aur Science, Ilm e Riyazi, Ilm-ul-Aadaad aur Taarikh goi wagairah uloom ke bhi maahir the.

Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi Shamsi taarikh se Qamari taarikh bila taraddud nikaal diya karte the.

1984 A.D. mein Ahle Silsila Hazrat ke pur-zor israar par Aap Baiat wa irshad ki taraf maa’il hue.

Aap Ahle Sunnat wal Jamat ki ishaat ke liye Hindustan ke kai ilaaqe aur Iraq, Iran, Pakistan, aur Sri Lanka ka safar karte rehte the.

Aakhri arse mein Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ko kaafi waqt se sugar aur dil ke marz tha.nnUske ba-wajood Aap tableeghi safar farmaate rahe.

Aap apne kharche se ek Daar-ul-Uloom bhi chalaate the, jiski khabar kisi ko nahi thi.

Karamat:

(1) Ek martaba Aap ek Gaanv se guzar rahe the. Achaanak Aap ne farmaya ke Yaha koi takleef zada hai.? Aur gaadi rukwaai aur utar kar baghair kisi ki raahnumaai ke chalte chalte ek ghar par pahunche.

Us ghar ke rehne waale Bad mazhab the. Unka ek louta bachcha shadeed beemaar tha. Aap ne us par dam farmaya, ALLAH ke fazl se woh foran theek ho gaya.

Yeh karamat dekh kar sab usi waqt Sunni Saheeh-ul-Aqeeda ho gaye aur Hazrat se bai’at kar li.

(2) Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ke saahabzaade Maulana Umar Raza Khan bayaan karte hain ki:

Ek martaba Aap Baliya gaanv (Zila Muzaffarpur, Bihar) se guzar rahe the.

Yaha nadi ka bahaaw musalmano ke ilaaqe ki taraf tha.

Aapne Chhadi Mubarak se us nadi ki taraf ishaara kiya aur zere lab kuchh padha, jis par nadi ka rukh tabdeel ho kar dusri taraf ho gaya.

Jo ab tak isi tarah maujood hai.

Hazrat ki is karaamat ko dekh kar be-shumaar Ghair Muslim Islam me daakhil ho gaye.

Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ka Nikah 23 Zil Hijja 1394 Hijri (12 January 1975 A.D.) ko mein Hazrat Mufti e azam e Hind Mustafa Raza Khan rahmatullahi alaihi ki Nawaasi se hua.

Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ke 3 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.

Saahabzaade:

  1. Maulana Umar Raza Khan.
  2. Maulana Aamir Raza Khan.
  3. Maulana Aasim Raza Khan.

Aap Hazrat Mufti e azam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullahi alaihi ke mureed hain.

Hazrat Sadr-ul-Ulama Allama Mufti Tehseen Raza Khan rahmatullahi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmayi hai.

24 June 2012 A.D. ko raat mein Aap ki tabiyat kuchh naasaaz thi aur sugar badhi hui thi.

Lihaaza Doctor ne dawa dekar aaraam karne ke liye kaha.

Dusre din maamool ke mutaabiq sugar badh gayi.

Ek baje raat ka khaana khaaya aur phir dedh baje Aap ke saahabzaade Maulana Umar Raza Khan ne dawa khila kar Aap ko kamre mein leta diya.

Raat ko hi Aap ka intiqaal hua.

Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ka wisaal 5 Shabaan 1433 Hijri (25 June 2012 A.D.) ko hua.

27 June budh ke roz baad namaz e Asr Islamiya Inter College maidaan mein namaz e janaza padhayi gayi.

Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ki namaz e janaza (Aap ke biraadar) Hazrat Tajushshariah Maulana Muhammad Akhtar Raza Khan rahmatullahi alaihi ne padhayi.

Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi ka mazaar Bareilly Shareef (Uttar Pradesh) mein hai.

ALLAH taala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe mein Aur Hazrat Allama Qamar Raza Khan rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele se Sabko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke Imaan ki hifazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye.

Aur Sab ko dunya wa aakhirat mein kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek Jaayiz muraado ko puri farmaye.

Aameen.

Share your love