Namaz e Hajat Ka Tarika

Abu Daawood Mein Hai Hazrat e Huzaifa RadiAllahu Taala Anhu Farmate Hai Ki:

Jab Huzur Sallallahu Alaihi Wassallam Ko Koi Aham Muamila Peish Aata, Toh Aap Uske Liye Do (2) Ya Chaar (4) Rakat Namaz Padhte.

Namaz e hajat parhne ka tarika Hadees Shareef Mein Hai:

Pehli Rakat Mein Surah e Fatiha Aur Teen (3) Baar Ayatal Kursi Padhe Aur Baaki Teen (3) Rakato Mein Surah e Fatiha, Qulhuwallahu, Qulauzubi Rabbil Falaq Aur Qul Aauzubi Rabbinnaas Ek Ek Baar Padhein.

Toh Yeh Aisi Hai Jaise Shab e Qadr Mein Chaar (4) Rakaatein Padhi.

Mashaayiq Farmate Hai Ki Hamne Yeh Namaz Padhi Aur Hamari Hajate (Zarurate) Poori Huwi.

Share your love