SHAB E QADR ke fazail Mein surah-e-qadr nazil hui, Allah Ta’ala ne isi shab Mein quran-e-haqim yaqbaargi lauhe Mehfooz se aasmaane duniya ki taraf nazil farmaya.
Shab E Qadr Mein Ibadat Karna Hazaar Mahino Ke Ibadat Se Behtar Hai.
Shab E Qadr Mein Hazrat Jibrael Alaihissalaam Aur Beshumaar Farishtein Duniya Ki Taraf Utarte Hain.
Aur Jo Log Ibadat, Wa Riyazat Mein Mashgool Rehte Hain.
Unhein Salaam Pesh Karte Hain Aur Unke Liye Istigfaar Karte Hain Aur Ye Farishte Subha Sadiq Tak Rehte Hain.
Shab E Qadr Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai.
Yaha Kuch Zikr Ki Jaati Hain.
Hadees: Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor e Aqdas Sallal laahu Ta’ala Alahi Wasallam Ne Irshad Farmaya
Ramzan Mein Ek Raat Aisi Hai jo Hazaar MAHEENON Se Behtar Hai.
Jo iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom Hai.
(Nasai)
Hadees: Hazrat Anas Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Kehte Hai.
Ramzan Aaya To Huzoor e Aqdas Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad FarmayannYe Maheena Aaya Is Mein Ek Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai.
Jo Isse Mehroom Raha Wo Har Cheez Se Mehroom Raha Aur Uske Khair (Bhalai) Se Wahi Mehroom Hoga Jo Poora Mehroom Hai.
(Ibne Majah)
Hadees: Hazrat Salman Farsi Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai
Huzoor E Aqdas Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya-
Aye Logo! Tumhare Paas Azmat Wala Barkat Wala Maheena Aaya Wo Maheena Jisme Ek Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai.
(Baihaqi)
Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raduyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai ke
Huzoor E Aqdas Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
Jo Iman Ki Wajah Se Aur Sawab Ke Liye Shab e Qadr Mein Ibadat Karega Uske Agle Gunaah Bakhsh Diye Jaayenge.
(Bukhari,Muslim)
Lijhaza Shab E Qadr Raat Mein Zyada Se Zyada Ibadat Karni Chahiye, Ye Raat Bahut Buzurgi Aur Fazilat Wali Hai.
Iska Har Har Lamha Ibadat Mein Guzarna Chahiye, Is Raat ko Idhar Udhar Ghoom Kar Behuda Baaton Mein Guzaar Dena Sakht Mehroomi Hai.
Baaz log Aisi Raaton Mein Raat Ke Aakhir Hisse Tak Jaagte Hain.
Phir So Jaate Hain Aur Din Mein Uthte Hai.
Iss Tarah unki Fajr Ki Namaz Qaza Ho Jo Jaati Hai.
Jo Ke Jaayez Nahin.
Jin Logo Ko Fajr Mein Bedaar Hone Ka Yaqeen Na Ho, unko Aise Waqt Mein Sona Hi Mana Hai.
Aise Logo Ko Chahiye Ke Isha Ki Namaz Jamat Se Padhkar So Jaayein Aur Fajr Ki Namaz Jamat Se Padhein Ke Hadees Sharif Mein Hai ke Huzoor e Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
Jisne Ba Jamat Isha Ki Namaz Padhi Goya Aadhi Raat Qayam Kiya (Ibadat Kiya) Aur Jisne Fajr Ki Namaz Jamat Se Padhi Goya Poori raat Qayam (Ibaadat) Kiya.
(Muslim Sharif)
Is Tarah Unko Raat bhar Ibadat Karne ka Sawaab Mil Jaayega Aur Fajr Ki Namaz Qaza Na Hogi.
Shab E Qadr Ki Raat Mein Qasrat Se Nawafil Padhein Aur Agar Zindagi Ki Qaza Namazein Ho, To Behtar Ye Hai Ke Nawafil Ki Jagah Qaza Namazein Padhein Aur Taakhir Se Adaa Karne Ke Apne Rab Se Maafi Maange.
Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahmed Raza Fazil-e-Bareilvi Radiyallahu Ta’ala Anhu Irshad Farmate Hai
Qaza Har Roz Ki Namaz Faqat 20 Rakaton Ki Hoti Hai 2 Fajr ki, 4 Zohar Ki, 4 Asar Ki, 3 Magrib ki, 4 Isha, 3 Witr.
Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye Mard 12 Baras Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaz Ka Aisa Hisaab Lagaye ke Takh Meena Mein Baaqi Na Reh Jaayein.
Zyaada Ho Jaayein To Harj Nahin Aur Wo Sab Baqadre Taaqat Rafta rafta jald Ada Karein Kaaheeli Na Karein.
Jab Tak Farz Zima Rehta Hai Koi Nafl Qubool Nahin Kiya Jaata.
Niyat Unn Namazo Ki Iss Tarah Ho Maslan 100 Baar Ki Fajr Ki Qaza Hai.
To Har Baar Yu Kahe Ki Sab Se Pehli Jo Fajr Mujhse Qaza Hui.
Har Dafa Yehi Kahein.
Yaani ek (1) Adaa Huyi, To Baakiyon Mein Jo Sabse Pehli Hai.
Isi Tarah Zohar Wagairah Har Namaz Mein Niyat Karein.
Jis par Bahut si Namaz e Qaza Ho Uske Liye Takhfeef Ki Surat Ye Hai ke
1) Farz Ki Teesri Chouthi Rakaaton Mein Surah-e-Fatiha Ki Tilaawat ki Jagah 3 Baar Subhanallah Kehkar Ruku Mein Jaayein.
2) Nez Tasbeehaate Ruku Aur Sujood Mein Sirf ek (1) Baar Subhana Rabbiyal Azeem Aur Subhana Rabbiyal Aala Padhlena kaafi Hai.
(Yaad Rahe Ye Tasbeehaat Ruku Mein Jaane Ke Baad aur Uthne Se Pehle Adaa Karein)
3) Attahiyyat Ke Baad Dono Durood Sharif Aur Dua Ke Bajaaye ALLA HUMMA SALE ALAA SAYYEDINA MUHAMADEU WA AALIHI Keh Kar Salaam Pher De.
4) Witro Mein Bajaye Dua e Qunood Ke 3 Baar Rabbig phirli Kehna Kaafi Hai.
Tulu, Guroob Wa Zawaal Ke Alawa Qaza Namazein Har Waqt Ada Ki Ja Sakti Hai.
(Fatawa-e-Razviya Jild 3, Safa No 621-622)
ALLAH TAALA Ham Sab Logo Ko Shab E Qadr Ki Raat Ke Ehtaram Ki Taufeeq Ataa Farmaaye.
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi