Zarooriyat e Deen Kya Kya Hai?

Jawab:

Zarooriyat e Deen Bahut Hai.

Unmein Se Kuch Yeh Hai Ki Khuda e Taala Ko Ek Aur Wajibul Wujood Manna,

Uski Zaat wa Sifat Mein Kisi Ko Shareek Na Samajhna,

Zulm Aur Jhooth Wagairah Tamam Aibon Se Usko Paak Manna,

Uske Malaika Aur Uski Tamam Kitabon Ko Manna,

Quran Majeed Ki Har Aayat Ko Haq Samajhna,

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Tamam Ambiya e Kiraam Ki Nabuwwat Tasleem Karna,

In Sabko Azmat Wala Janna,

Unhein Zaleel Aur Chota Na Samajhna,

Uski Har Baat Jo Qatai Aur Yaqeeni Taur Par Saabit Ho Usey Haq Manna.

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Khatmun Nabiyyeen Manna,

Unke Baad Kisi Nabi Ke Paida Hone Ko Jayiz na Samajhna.

Qiyamat, Hisaab wa Kitab, Jannat wa Dozakh Ko Haq Manna.

Namaz, Roza, Zakat Aur Hajj Ki Farziyat Ko Tasleem Karna.

Zina, Choori Aur Sharab Naushi Wagairah Haram e Qatai Ki Hurmat Ka Aeteqad Karna Aur Kafir Ko Kafir Janna Wagairah.

Shirk Kise Kehte Hai?

Jawab:

Shirk Usey Kehte Hai Ki ALLAH Taala Ke Alawa Kisi Doosre Ko Wajibul Wuzood Yaa Ibadat Ke Layaq Mana Jaayein.

Yaani Khuda e Taala Ke ALLAH Aur Mabood Hone Mein Kisi Doosre Ko Shareek Kiya Jaayein Aur Yeh Kufr Ki Sabse Buri Qism Hai.

Share your love