Khudaye Taala Ki Zaat Wa Sifaat Mein Kisi Ko Shareek Thehrana Shirk Hai. Zaat Mein Shareek Thehrana Ka Matlab Yah Hai, Ki Do Yaa Do Se Zyada Khuda Maane.
Jaise Essai (Christian) Ki Teen Khuda Maan Kar Musharik Hue Aur Jaise Gair Musalman Ki Kai Khudaa Manne Ke Sabab Musharik Hain.
Aur Sifaat Mein Shareek Thehrana Ka Matlab Yah Hai Ki Khudaaye Taala Ki Sifaat Ki Tarah Kisi Doosare Ke Liye Koi Sifaat Sabit Karein.
Masalan Sunna Aur Dekhna Wagaira Jaisa Ki Khudaye Taala Ke Liye Bagair Kisi Ke Diye Jaati Taur Par Sabit Hai.
Usi Tarah Kisi Doosare Ke Liye Sunna Aur Dekhna Wagaira Zaati Taur Par Maane Ki Bagair Khuda Ke Diye Use Yah Sifatein Khud Haasil Hain To Shirk Hai.
Aur Agar Kisi Doosare Ke Liye Ataayi Taur Par Maane Ki Khudaye Taala Ne Use Yah Sifatein Ataa Ki Hain, To Shirk Nahi.
Jaisa Ki Allah Taala Ne Khud Insan Ke Baarein Mein Para 29 Ruko 19 Mein Farmaya
Jiska Tarjamaa Yah Hai Ki
Hamane Insan Ko Sunane wala, Dekhane wala Banaya!
Book-Anware Shariat Hindi P18