Sulah kulli kise kahte hai?

Jawab:

Sulah kulli 2 tarah ke hai.

  1. I’eteqadi.
  2. Amali.

I’eteqadi: Sulah kulli ye hai keh tamam baatil firqo ko haq par jaane, ya kam azkam kisi ek hi baatil firqah ko haq par jaane.

Maslan sunni ko haq par jaane aur saath hi wahabi deobandi wagairah ko bhi haq par jaane.

Aur amali sulah kulli ye hai keh sunni ko haq par jaane aur iske muqabil jitne baatil firqe hain sabko baatil o jhoota samjhe.

Magar unlogo se dosti karein unke saath khaye piye unki shadi wagaira mein shirkat karein.

Dono qism ke sulah kulli se mel jol dosti wagiarh mana hai.

Bil khusoos pahle qism ke sulah kulli se mel jol dosti wagairah sakht haraam hai.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love