Momin aur Musalman mein kya Farq hai?

Jawab:

Iman aur Islam dono Mutaraadif hai.

Inferaadi surat mein har ek ka dosre par itlaaq hota hai.
Lekin jab dono jama ho jaayein to Iman ka Ta’lluq Baatini umoor se hota hai, jabke Islam ka ta’lluq zaahir se.

Iski waazeh misaal “Hadees e Jibreel” aur Qissa e Wafd e Abd ul Qais mein hai.

“Hadees e Jibreel” mein Iman ki Tareef Baatini umoor se ki gayi hai.

Farmaya: “Iman ye hai ke tum Iman lao Allah aur Malaika par, Usse liqaa par, aur uske Rasoolo par aur Iman Laao Ba’s Ba’ad al Maut par”

(Bukhari)

Aur “Qissa wafd e Abdul Qais” mein iman ki tareef zaahiri umoor se ki gayi hai.

Farmaya: “kya tum jaante ho Allah Wah’dahu par Iman kya hai?

Logo ne kaha: Allah aur uska Rasool behtar jaante hain.

Farmaya: Is baat ki shahadat ke Allah ke siwa koi Ma’bood nahi aur Ye ke Muhammad Sallallahu Alahi Wassallam Allah ke Rasool hain aur Namaz Qayem karna aur zakat dena aur Ramzan ke Roze rakhna.

ilaa Akhirih”

(Bukhari)

Lekin Hadees e Jibreel mein Islam ki Tareef inhi zaahiri umoor se ki gayi hai is waja se ke usme Islam aur Iman dono jama ho gaye.

Isliye Iman ki Tareef mein baatin ka lehaaz rakha gaya hai aur Islam mein zaahir ka.

Isi liye Ahl e Ilm Farmate hain ke Iman ke darja Islam se bada hai.

Lehaza Momin aur Muslim mein Is Tarah Nisbat hai ke Har Momin Muslim Hai.

Lekin Har Muslim Ka Momin hona zaruri nahi.

Kisi Buzurg ne Islam o Iman ki Ek jumle mein yu tareef ki ke

“Islam ye hai ke Allah ko Maane” aur “Iman ye hai ke Allah ki Maane”.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love