Jawab:
Zaruriyat-e-Deen Mein Se Kisi Ek Baat Ka Inkaar Karna Kufr Hai.
Zururiyaat-e-Deen Bahut Hai Unme Se Kuch Yah Hai: Khudayetaala Ko Ek Aur Waajibul-Wajood Manna.
Uski Zaat Wa Sifaat Mein Kisi Ko Shareek Na Samajhna,
Zulm Aur Jhoot Wagaira Tamaam Aiboo Se Usko Paak Manna, Uske Malaika Aur Uski Tamaam Kitaabo Ko Manna,
Quran Majeed Ki Har Aayat Ko Haak Samajhna.
Huzoor Sayyed-e-Aalam Sallallaho Talaa Alaihi Wasallam Aur Tamaam Ambiya-E-Kiraam Ki Nabuwat Ko Tasleem Karna.
Un Sabko Azmat Wala Janna,
Unhe Jaleel Aur Chhotaa Na Samajhna Unki Haar Baat Jo Katai Aur Yakeeni Taur Par Saabit Ho Use Haak Janna.
Huzoor Sallallaaho Talaa Alaihi Wasallam Ko Khaatamun-Nabeeyeen Manna.
Unke Baad Kisi Nabi Ke Paida Hone Ko Jaayez Na Samajhna,
Qiyamat Hisaab Wa Kitaab Aur Jannat Wa Dozakh Ko Haak Manna,
Namaz Wa Roza Aur Hajj Wa Zakat Ki Farziyat Ko Tasleem Karna.
Zina, Choori Aur Sharaab Noshi Wagaira Haraam Katai Ki Huramat Ka Itiqaad Karna Aur Kafir Ko Kafir Janna Wagaira.
Anware Shariat Hindi P19