Hum Dargah Shareef Par Kyu Jaate Hai?

Uske Kya Fawayid Hai? Mazarat Par Haziri Dene Ka Silsila Kab Se Shuru Hua Aur Mazarat Par Aurto Ka Hazir Hona Kaisa Hai?

Jawab:

Auliya Allah Ki Araam Gaah Allah Ki Khaas Rehmat Ke Nuzool Ki Jagah Hai.

Waha Jaayein To Hum Par Bhi Kuch Rehmato Ke Cheente Pad Jaaye.

Dosri Baat Ye Ke Huzoor E Akram Sallallahu Aliahiwasallam Ne Mazarat Par Hazri Dene Ka Hukm Farmaya Hai.

Mazarat Par Jaye To Maut Ko Yaad Karein Ke Hame Bhi Ek Din Qabr Mein Jaana Hai.

Aur Auliya E Kiraam Ki Bargah Mein Hazir Ho Kar Unke Waseele Se Dua Maangi Jaayein, To Dua Jald Qubool Hoti Hai.

Qabro Par Hazri Ka Silsila Huzoor E Akram Sallallahu Aliahiwasallam Ke Zamana E Aqdas Hi Se Hai.

Hadees E Paak Mein Hai Ke Huzoor E Akram Sallallahu Aliahiwasallam Jannatul Baqi O Uhod Ziyarat Ke Liye Tashreef Le Jaya Karte The.

Is Fitne Ke Zamaane Mein Huzoor E Akram Sallallahu Aliahi wassallam Ke Darbar Ki Hazri Ki Siwa Kisi Mazar Par Jaana Aurto Ke Liye Jaayez Nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love