Takdeer kise kahte hai?

Sawal: Kya Allah Ta’Ala ne Jaisa Hamari Takdeer Mein Likh diya hai waisa hame majburan karna padta hai?

Jawab:

Dunya mein Jo kuch Hota hai Aur Bande Jo kuch Bhalai Burai Karte Hai.

Allah Taala Ne Use Apne Ilm Ke Mu’Aafiq Pahle se Likh diya hai Use Takdeer Kahte Hai.

Nahi Allah Ta’Ala Ke likh dene se Hame Majburan waisa karna nahi padta hai.

Balki ham jaisa karne wale the Allah Ta’Ala Ne Apne Ilm se Waisa Likh diya.

Agar Kisi ki takdeer mein burai likhi to isliye ki wah burai karne wala tha.

Agar woh bhalai karne wala hota, to khuda e Ta’Ala Uski takdeer mein bhalai likhta.

Khulaasa yah ki Khuda E Ta’Ala ke likh dene se banda kisi kaam ke karne par majbur nahi kiya gaya Takdeer haq hai.

Uska inkaar karne wala gumrah Badmajhab hai.

Anware Shariat

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love