Taweez pehna kaisa hai Aur agar pehen sakte hai to kya shartein hai.

Yani ke namaz ke dauran pehen sakhte hai? Ya bathroom mein? Wagera Wagera Aur Taweez pehna mein kya parhez karna chahiye?

Jawab:

Taweez pehan sakte hai. Taweez pehenna Hadees se sabit hai.

Hazrat e Ayesha razia Allahu anha se marwi hai ke ek bachche ko aaqa e kareem sallallahu alaihi wasallam ki bargah laya gaya wo bahot ro raha tha.

Aap ne irshad farmaya

Ise nazr e bad lagi hai iske liye taweez banwaya jayein.

Haan khuli hui taweez jaise aaj kal angoothi pe ism e baari ta’ala ka, ya ism e mohammad ka naqsh banwate hai, isi tarah khuli hui taweez ka pehanna Jayez nahi.

Aisi taweez ko jo kapdon mein lapeti ho use har jagah har waqt pahan sakte hai.

Kuch log taweez ko dhage ki jagah lohe, ya sone ki chain ka istemal karte hai.

Aisi chain ka istemal mard ke liye na jayez hai aur halat e namaz mein namaz makrooh e tahreemi hogi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love