Kya Aap Sabit Kar Sakte Hai Ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Apni Milad Manai?

Jawab:nnJi Haan! Hadees Mulahiza Farmayein : Hazrat Qatada Radi’Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wassallam Se Pir (Somwar / Monday) Ke Din Roza Rakhne Ke Baare Mein Pucha Gaya.nnToh Aap Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Irshad Farmaya : “Isi Roz Meri Wiladat Huwi, Isi Roz Meri Bi’asat Huwi Aur Isi Roz Mere Upar Qur’an Nazil Kiya Gaya.”nnSahih Muslim, Hadees: 2807, Sunan Abu Dawood, Hadees: 2428, Musnad Imam Ahmad Bin Jamval, Hadees 23215nnIs Hadees Se Sabit Hua Ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Har Pir Ke Din Roza Rakh Kar Apni Milad Ka Khud Ehtemam Kiya Hai.nnLihaza Sabit Hua Ki Din Mukarrar Karke Yaadgar Manana Sunnat Hai.nAlhumdulillah

Share your love