Mujhe 200 Rs Ki Note Kahi Se Padi Hui Mili Hai. Uska Main Kya Karu.

Masjid Mein De Sakte Hai?

Ya Kisi Gareeb Ko De Diya Jayein.

Jawab:

Aap Uska Ehlaan Karein Taakeh Jiski Woh Raqam Hai Woh Apni Raqam Aap Se Le Le.

Aur Gar Ehlaan Ke Baad Bhi Koi Lene Na Aaye Aur Ye Gumaan Hai Keh Jiski Raqam Hai Woh Ab Ise Talash Nahin Karta Hoga.

To Kisi Faqeer Ko De De Aur Agar Khud Faqeer Hai, To Khud Bhi Istemal Kar Sakta Hai.

Magar Jab Kabhi Malik Mil Gaya To Use Kah De Keh Tumhari Raqam Sadqa Kardi Ya Main Ne Haalat E Faqr Mein Le Liya.

Agar Malik Jayez Karde To Uski Taraf Se Sadqa Hai Aur Use Iska Sawab Milega.

Aur Agar Sadqa Jayez Na Karein.

Balkeh Raqam Talab Kar Raha Hai To Raqam Use De De.

Aur Agar Raqam Khatm Ho Gayi Ho To Utni Qeemat Apni Taraf Se Ada Karein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love