1. Peeri Muridi Ki Haqiqat Kya Hai. Kyun Kisi Ko Apna Peer Banana Chahiye. Kya Huzoor Aleyhis Salaam Ka Farmaan Hai?
2. Peer / Murshid Ki Pehchaan Kaise Karein Ki Kya Yeh Peersaheb Nek Hai Yah Sirf Dikhawa Hai?
3. Yeh Taalib Hona Kya Hai?
4. Kya Taalib Hone Ke Liye Murshid Ki Ijazat Zaruri Hai?
5. Agar Musrhid Duniya Mein Ho Ya Na Ho Tau Ijazat Kaise Le?
6. Kya Ek Se Zyada Se Mureed Ya Taalib Ho Sakte Hai?
7. Kaunsi Umr Mein Mureed Hona Chahiye?
8. Agar Bachpan Mein Mureed Hoye Aur Hosh Sambhal Ne Ke Baad Yeh Laga Ki Mujhe Inse Nahi Kisi Aur Se Mureed Hona Hai. Toh Kya Hukm Hai?
9. Kya Woh Shaks Nuksaan Mein Hai Jo Bina Mureed Hue Duniya Se Gaya?
10. Jis Tarha Jism Ka Baap Walid Hota Hai Us Tarha Rooh Ka Baap Peer Hota Hai Kya Yeh Kehna Sahi Hai?
Jawab:
1. Mureed Hona Ye Hai Ke Kis Jaame Sharaait E Peer Ke Rubaru Taubah Kar Ke Nek Kaamo Ka Pokhta Wadah Karein Aur Isi Ko Baiat Hona Bhi Kahte Hain.
Baiat Ka Zikr Kayi Ahadees Mein Hai Aur Baiat-E-Rizwan Ka Zikr To Quran Mein Bhi Hai.
2. Jis Peer Mein Ye 4 Shartein Maujood Ho Woh Sahih Peer Hai Aur Us Se Mureed Hona Jayez.
Huzoor Sadrushshariah Badruttariqah RadiaAllahu Taala Anhu Irshad Farmate Hain.
Jab Mureed Hona Ho To Achchi Tarah Tafteesh Kar Le.
Warna Agar Badmazhab Hua, To imaan Se Bhi Haath Dho Baithenge.
Peeri Ke Liye 4 Shartein Hain.
- Qabl Az Baiat Unka Lihaaz Farz Hai.
- Sunni Sahihul Aqeedah Hona.
- Itna Ilm Rakhta Ho Keh Apni Zaroorat Ke Masaail Kitaabon Se Nikaal Sake.
- Faasiq E Muolim Na Ho.
- Uska Silsilah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Tak Muttasil Ho.
(Bahar E Shariat Hissa 1 Safah 79)
3. Apne Peer Ki Baiat Par Qaaim Rahte Huye Kisi Dosre Peer Se Mureed Hona Taalib Kahlata Hai.
4. Taalib Hone Ke Liye Mrshid Ki Ijazat Zaroori Nahin.
Haan Agar Murshid Maujood Ho To Bihtar Hai Keh Ijazat Le Le.
5. Agar Mushid Ka Inteqaal Ho Gaya Ya Bhaut Door Hai To Is Soorat Mein Ijazat Ki Koi Zaroorat Nahin.
6. Ek Hi Waqt Mein 2 Peero Se Mureed Hona Sahih Nahin.nnHaan Agar Murshid Ka Inteqal Ho Gaya Ya Bahut Door Hai To Kisi Jaame Sharaait E Peer Se Taalib Ho Jayein.
7. Mureed Hone Ke Liye Umar Ki Koi Qaid Nahin Ek Din Ka Bachcha Bhi Mureed Ho Sakta Hai.
8. Bachpan Mein Jis Peer Se Mureed Hua Agar Us Mein Sharaait E Peer Maujood Hain To Baiat Todna Jayez Nahi.
Haan Taalib Ho Sakte Hain.
9. Mureed Hone Se Jo Faaidah Hai Duniya O Aakhirat Mein Us Faaidah Se Mahroom Raha.
10. Kah Sakte Hain.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi