Peshab baith kar karne se agar darr ho ki cheenta badan pe ayega

Aur napaak ho jayega badan. To kya Khade ho kar Peshab kar sakhte hai.

Jawab:

Jab baith kar chheente aa sakte hain to khade ho kar zyada chheente aane ka Andesha hai.

Haan! Agar waaqai aisi majburi hai ke us jagah baith kar peshab karna Muta’zzar hai aur khade ho kar peshab karne se Cheent kapre ya badan par na padne ka Yaqeen hai.

To us jagah khada ho kar Peshab ki ijazat hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love