Wazu ka tarika

Wazu Karne Ka Tarika Yeh Ki Pehle Tasmiya (Bismillah) Padhein.

Fir Miswak Karein, Agar Miswak Na Ho Toh Ungli Se Daant Masle.

Fir Dono Hathon Ko Gatton (Kalai ki haddi) Tak Teen Bar Dhoye.

Pehle Dahine (Right) Hath Par Paani Daale.

Fir Baaye (Left) Hath.

Par Dono Hathon Ko Ek Saath Dhoye.

Fir Dahine (Right) Hath Se Teen Bar Kulli Karein.

Fir Baaye (Left) Hath Ki Choti Ungli Se Naak Saaf Karein Aur Dahine (Right) Hath Se Teen Bar Naak Mein Paani Chadaye.

Fir Pura Chehra Dhoye.

Yaani Peshaani Par Baal Ugne Ki Jagah Se Dhadhi (Beard) Ke Neeche Tak Aur Ek Kaan Ki Lau Se Doosre Kaan Ki Lau Tak.

Har Hisse Par Teen Bar Paani Bahaye.

Iske Baad Dono Haath Kuhniyon (Elbow) Samet Teen Bar Dhoye.nnUngliyon Ki Taraf Se Kuhniyon (Elbow) Ke Upar Tak Paani Daale.

Kuhniyon (Elbow) Ki Taraf Se Na Daale.nnFir Ek Bar Dono Hath Se Pura Sar Ka Masah Karein.

Fir Kaano Ka Aur Gardan Ka Ek Ek Bar Masah Karein.

Fir Dono Paau Takhno (Ankle) Samet Teen Bar Dhoye.

Note: Dhone Ka Matlab Yeh Hai Ki Jis Cheez Ko Dhoye Uske Har Hisse Par Paani Bah Jaayein.

Share your love