Tayammum Kab Karna Chahiye?

Jawab:

Jab Pani Par Qudrat na Ho Toh Tayammum Karna Jayez Hai.

Pani Par Qudrat Na Honi Ki Kya Surat Hai?

Jawab:

Paani Par Qudrat Na Hone Ki Yeh Surat Hai Ki Aisi Beemari Ho Ki Jo Wazu, Ya Ghusl Se Uske Zyaada Ho Jaane Ka Saheeh Andesha Ho.

Ya Aise Muqam Par Maujood Ho Ki Wahan Charon Taraf Ek Ek Meel Tak Pani Ka Kahi Pata Na Ho.

Yaa Itni Sardi Ho Ki Paani Ke Istemal Se Mar Jaane, Yaa Beemar Ho Jaane Ka Qawi Andesha Ho.

Yaa Kuwa Maujood Hai, Magar Dol wa Rassi Nahi Pata Hai!

Inke Alawa Pani Par Qudrat Na Hone Ki Aur Bhi Surtein Hai Jo Bahare Shariat Wagairah Badi Kitabon Se Maloom Ki Jaa Sakti Hai!

Share your love