Wazu Ke Faraiz Aur Wazu Ki Sunnat

Wazu Mein 4 Faraiz Hai.

01 Muh Dhona.
02 Kohniyoon Samet Dono Haath Dhona.
03 Sar Ka Masah Karna.
04 Takhno Samet Dono Pav Ka Dhona.

Kisi Ujw Ke Dhone, Ke Yah Maani Hai Ki Us Ujw Ke Har Hisse Par Kam Se Kam Do-Do Bund Paani Bah Jaayein.
Bheeg Jaane Ya Tel Ki Tarah Paani Chupud Lene, Ya Ek Aadh Bund Bah Jaane Ko Dhona Nahi Kahenge. Na Usse Ghusl Ya Wazu Ada Ho.
Is Baat Ka Dhyan Rakhna Bahut Jaruri Hai.

Log Iski Taraf Dhyan Nahi Dete Aur Namaz E Akaarat Jaati Hai. (Yaani Barbaad Hoti Hai).
Badan Mein Kuch Jagah Aisa Hai Ki Jantak Uska Khaas Khayal Na Kiya Jaaye Un Par Paani Nahi Bahega.
Jiski Tashri Har Ujw Mein Ki Jaayegi Kisi Jagah Maujaye Hadees (Hadas Ki Jagah) Par Tari Pahunchne Ko Masah Kahte Hai.

Reference
Bahar-E-SahariAt Hissa 02 Safa 13.

Wazu Ki Sunnate

01 Wazu Ki Niyat Karna.
02 Bismillah Shareef Padhna.
03 Pehle Dono Hatho Ko 3 Martaba Dhona.
04 Miswaq Karna.
05 Dahine Hath Se 3 Martaba Kulli Karna.
06 Dahine Hath Se 3 Martaba Naak Mein Pani Chadana.
07 Baye Hath Se Naak Saaf Karna.
08 Dhadi Ka Ungliyo Se Khilal Karna.
09 Haath Pao Ki Ungliyo Ka Khilal Karna.
10 Har Auzu Ko 3-3 Bar Dhona.
11 Pure Sar Ka Ek Bar Mash Karna.
12 Tarteeb Se Wazu Karna.
13 Dadhi Ke Jo Baal Muh Ke Dayire Ke Niche Hai In Per Geela Hath Phira Lena.
14 Aaza Ko Lagatar Dhona Ke Ek Auzu Sukhne Se Pehle Hi Dusre Auzu Ko Dho Lena.
15 Kaano Ka Masah Karna.
16 Har Makroohat Se Bachna.

Bahar-E-SahariAt Aur Aalamgiri
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love