Wazu mein kitne farz hai?

Wazu Mein 4 Farz Hai.

1) Muh Dhona

2) Kohniyoon Samet Dono Haath dhona

3) Sar ka masah Karna

4) Takhno Samet dono Pav ka dhona Kisi ujw ke dhone, ke yah maani Hai, Ki us Ujw ke har hisse par kam se kam do-do Bund paani bah jaayein.

Bheeg jaane, ya tel ki tarah paani chupud lene, ya ek aadh bund bah jaane ko dhona nahi kahenge.

Na usse Ghusl, ya wazu ada ho.

Is baat ka dhyan rakhna bahut jaruri hai.

Log iski taraf dhyan nahi dete Aur namaz e Akaarat jaati hai. (yaani barbaad hoti hai).

Badan mein kuch jagah aisa hai ki jaha tak uska khaas khayal na kiya jaayein, un par paani nahi bahega.

Jiski tashri har ujw mein ki jaayegi kisi jagah maujaye hadees (hadas ki jagah) par tari pahunchne ko masah kahte hai.

Bahar-e-Sahariat Hissa 02 Safa 13

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love