Aankh Dukhte Mein Jo Aansu Bahta Hai Usse Wazu Par Kya Hukm Hai?

Jawab:

Wazu Toot Jaata Hai.

Khaarish Ya Fudiyoon Mein Jabki Bahane Waali Ratbut Na Ho Aur Sirf Chipak Ho Agar Kapda Usse Baar Baar Chhukar Hi San Jaye Paak Hai.

Soote Mein Raal Jo Muh Se Geere Chahe Wah Pet Se Aaye Ya Badboodaar Ho Paak Hai Aur Murde Ke Muh Se Jo Paani Bahe Wah Naajis Hai.

AANKH Dukhte Mein Jo Aansu Bahta Hai Naajis Hai Us Se Wazu Toot Jaata Hai.

Isse Bachna Bahoot Jaruri Hai.

Is Masle Mein Bahot Se Log Gaafil Hai.

Aksar Dekha Gaya Hai Ki Kurta Wagairah Se Is Halat Mein Aankh Ko Pochh Liya Karte Hai Aur Apne Khayal Mein Use Aur Aansu Ke Jaisa Samajte Hai.

Yah Unki Sakht Galti Hai Aur Agar Aisa Kiya To Kurta Wagairah Naapaak Ho Jayega.

Bahar-E-ShariAt Safa Dusra Hissa Safa 26

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariyah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love