Jiski Dhadi Ghani Ho, To Kya Wazu Mein Muh Dhoote Waqt Uska Jild Tak Pani Pahunchana Farz Hai?

Ya Fir Sirf Dhadi Bheeg Jane Se Hi Wazu Mein Ye Farz Adaa Ho Jayega Aur Ghusl Mein Iska Kya Huqm Hai?

Jawab:

Agar Dhadi Ghani Nahin Hai Yani Chehre Ki Jin Hisso Pe Dhaadi Ke Baal Hain.

Un Hisso Ki Jild (Khaal) Bhi Dikh Rahi To Jild (Khaal) Par Paani Bahana Farz Hai.

Haan, Agar Dhadi Ghani Hai Keh Jild Nahin Dikhti.

To Wazu Karne Mein Jild Tak Paani Pahunchana Zaroori Nahin.

Agar Jild Tak Paani Nahin Bhi Pahuncha Jab Bhi Wazu Ho Jayega.

Magar Ghusl Mein Dono Hi Sooraton Mein Jild (Khaal) Tak Paani Pahunchaana Farz Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love