Agar Peshab Ke Baad Peshab Ke Qatre Tapakne Ki Bimari Ho

To Kya Karein Namaz Kaise Ada Karein?

Jawab:

Jis Ko Peshab Ke Baad Qatre Aate Ho Us Par Istebra Wajib Hai.

Yani Koi Aisa Kaam Karein Jis Se Ruke Huye Qatre Nikal Jaayein.

Huzoor Sadrushshariah Badruttariqah RadiaAllahu Taala Anhu Irshad Farmate Hain.

Peshab Ke Baad Jisko Ihtemal Hai Ke Koi Qatra Baaqi Rah Gaya, Ya Phir Aayega Us Par Istebra (Yani Peshab Karne Ke Baad Aisa Kam Karna Ke Agar Qatra Ruka Ho To Gir Jaayein) Wajib Hai.

Istebra Tahalne Se Hota Hai.

Ya Zameen Par Zor Se Paaon Maarne.

Ya Dahine Paaon Ko Baayein Aur Baayein Ko Dahine Par Rakh Kar Zor Karne.

Ya Balandi Se Neeche Utarne.

Ya Neeche Se Balandi Par Chadhne.

Ya Khankaarne.

Ya Baayein Karwat Par Letne Se Hota Hai Aur Istebra Us Waqt Tak Karein Ke Dil Ko Itminaan Ho Jaayein.

Tahalne Ki Miqdaar Baaz Ulama Ne 40 Qadam Rakhi Hai.

Magar Sahih Ye Hai Ke Jitne Mein Itminaan Ho Jaayein Aur Ye Istebra Ka Hukm Mardon Ke Liye Hai Aurat Baad Faarig Hone Ke Thodi Der Waqfah Kar Ke Taharat Karle.

(Bahar E Shariat Hissa 2 Safah 115 Istinje Ka Bayan)

Aur Jise Qatra Aane Ki Aisi Bimaari Hai Ke Use Har Waqt Qatre Aate Hi Rahte Hain Aur Usko Itni Moohlat Nahin Milti Ke Wazu Kar Ke Farz Namaz Ada Kar Sake.

To Namaz Ka Poora Ek Waqt Shuru Se Aakhir Tak, Isi Haalat Mein Guzar Jaane Par Usko Mazoor Kaha Jaayega.

Jab Uzr Saabit Ho Jaayein, To Qatra Aane Se Wazu Nahin Tootega.

MASLAN: Qatra Har Waqt Aata Hi Hai Wazu Kar Ke Zuhar Ki Farz Namaz Padh Raha Hai Ke Qatra Aa Gaya Namaz Faasid Ho Gayi.

Kuch Der Baad Phir Wazu Kar Ke Farz Namaz Padhna Shuru Kiya.

Phir Darmiyaan E Namaz Qatra Aa Gaya.

Is Tarah Zuhar Ka Poora Waqt Guzar Gaya Aur Zuhar Ki Farz Namaz Wazu Ke Saath Na Padh Saka.

To Ab Uzr Saabit Ho Gaya, Uzr Saabit Hone Ke Baad Us Uzr Se Wazu Nahin Tootega.

Huzoor Sadrushshariah Badruttariqah RadiaAllahu Taala Anhu Irshad Farmate Hai.

Har Woh Shakhs Jisko Koi Aisi Bimaari Hai Ke Ek Waqt Poora Aisa Guzr Gaya Ke Wazu Ke Saath Namaz E Farz Ada Na Kar Saka Woh Mazoor Hai.

Uska Bhi Yahi Hukm Hai Ke Waqt Mein Wazu Kar Le Aur Aakhir Waqt Tak Jitni Namazein Chahe Us Wazu Se Padhein.

Us Bimari Se Uska Wazu Nahin Jaata.

Jaise Qatre Ka Marz.

Ya Dast (Julaab) Aana.

Ya Hawa Kharij Hona.

Ya Dukhti Aankh Se Paani Girna.

Ya Phode,

Ya Naasoor Se Har Waqt Rutoobat Bahna.

Ya Kaan, Naaf, Pistaan Se Paani Nikalna Ke Ye Sab Bimariyaan Wazu Todne Wali Hain.

In Mein Jab Poora Ek Waqt Aisa Guzar Gaya Ke Har Chand Koshish Ki Magar Taharat Ke Saath Namaz Na Padh Saka.

To Uzr Saabit Ho Gaya.

(Bahar E Shariat Hissa 2)

Mazoor Ka Wazu Us Chiz Se Nahin Jaata Jis Ke Sabab Mazoor Hai.

Haan, Agar Koi Dosri Chiz Wazu Todne Wali Paai Gayi, To Wazu Jaata Raha.

Maslan: Jisko Qatre Ka Marz Hai.

Hawa Nikalne Se Uska Wazu Jaata Rahega Aur Jisko Hawa Nikalne Ka Marz Hai Qatre Se Wazu Jaata Rahega.

(Bahar E Shariat Hissa 2 Safah 94 Istehaza Ka Bayan)

Farz Namaz Ka Waqt Jaane Se Mazoor Ka Wazu Toot Jaata Hai.

Jaise Kisi Ne Asr Ke Waqt Wazu Kiya Tha, To Aftab Ke Doobte Hi Wazu Jaata Raha.

(Yani Mazoor Ko Har Waqt Ke Liye Naya Wazu Karna Hoga).

Jab Bimari Thik Hojayein Aur Uzr Baaqi Na Rahein.

To Wazu Ke Tamam Ehkaam Wahi Hai Jo Ek Sehat Mand Ke liye Hai

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love