Hazrat Ayesha (Raziallahu Taala anha) Ne Bayan Kiya Ke

Agar Tum Se Koi Ye Kehta Hai Ke Mohammad Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Apne Rab Ko Dekha To Woh Galat Kehta Hai.

Kyuke Allah Taala Apne Baare Mein Khud Kehta Hai Ke Nazre Usko Dekh Nahi Sakti Aur Jo Koi Kehta Hai Ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Gaib Jaante The To Galat Kehta Hai.

Kyuke Allah Taala Khud Kehta Hai Ke Gaib Ka Ilm Allah Ke Siwa Aur Kisi Ko Nahi.

Sahi Bukhari: 7380

Jawab:

(1) Huzoor  Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Apne Rab Ka Didaar Kiya.

Hadrat Ikramah Radi-Allahu Taala Anh Bayan Karte Hain Ke Sayyedna Abdullah Ibn Abbas Radi-Allahu Taala Anhuma Ne Farmaaya: Hadrat Sayyedna Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Apne Rab Ka Deedar Kiya Hai.

Main Ne Arz Kiya: Kya Allah Taala Ne Ye Nahi Farmaaya Nigaahein Us Ka Ihaata Nahi Kar Sakteen Aur Wo Nigaaho Ka Idraak O Ihaata Karta Hai?

To Hadrat Abdullah Ibn Abbas Radi-Allahu Taala Anhuma Ne Farmaaya: Tum Par Tajjub Hai! Jab Allah Apne Us Noor Ke Sath Tajalli Farmaaye Jo Uska Gair Mutanaahi Noor Hai Aur Beshak Sayyedna Muhammad Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Apne Rab Ka Do Martaba Deedar Kiya Hai.

(Tirmizi, Umdatul Qari Sharah Bukhari, Tafseer Ibn E Kaseer, Subul Ul Huda Warrishad, Mustadrak Ala Assahihain, Musnad Ahmad Mujam E Kabeer, Tafseer Ibn Abi Haatim, Surah Anaam)

Hadrat Abdullah Ibn Abbas Radi-Allahu Taala Anhuma Ne Bayan Farmaya KenHadrat Rasoolullah Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Farmaya:

Main Ne Apne Rab Ka Deedar Kiya.

(Musnad Ahmad)

Hadrat Ibn E Abbas Radi-Allahu Taala Anhuma Se Riwayat Hai Ke Allah Taala Ne Hadrat Ibrahim Ko Khullat Aur Hadrat Moosa Alaihissalam Ko Kalam Aur Sayyed E Alam Muhammad Sallallahu Alaihe Wasallam Ko Apne Deedar Se Imtiyaz Baksha (Salawatullahi Alaihim Ajmaeen),

Kaab Ne Farmaya Ke Allah Taala Ne Hadrat Moosa Alaihissalam Se Do Baar Kalam Farmaya Aur Hadrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Allah Taala Ko Do Martaba Dekha.(Tirmizi)

Yahan Chand Baaton Ka Lehaaz Rakhna Zaruri Hai.

Ek Ye Ke Hadrat Aisha Siddeqah Radi-Allahu Taala Anha Ka Qawl Nafi Mein Hai.

Aur Hadrat Ibn E Abbas Radi-Allahu Taala Anhuma Ka Qawl Isbaat Mein Hai. Aur Musbat Muqaddam Hota Hai.

Kyu Ke Nafi Karne Wala Kisi Cheez Ki Nafi Us Waqt Karta Hai Ke Usne Nahi Suna Aur Musbit Isbaat Is Liye Karta Hai Ke Usne Suna Aur Jaana.

To Ilm Musbit Ke Paas Hai.

Dosri Baat Ye Ke Hadrat Ummul Momineen Aisha Siddeqah Radi-Allahu Taala Anha Ne Ye Kalam Huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam Se Naql Nahi Kiya.

Balke Khud Aayat Se Istembaat Farmayan Nigaahein Us (Allah) Ka Ihaata (Gher) Nahi Kar Sakti.

Yahan Par Ihaata (Gherna) Ki Nafi Hai. Ruyat (Dekhne) Ki Nafi Nahi Hai. Sahih Yahi Hai Ke Huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam Deedar E Ilahi Se Musharraf Farmaaye Gaye.

Muslim Shareef Ki Hadees E Marfoo Se Bhi Yahi Saabit Hai.

Hadrat Ibn E Abbas Radi-Allahu Taala Anhuma Bhi Isi Par Hai.

Muslim Ki Hadees Hai.

Huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Farmaaya Ke Mai Ne Apne Rab Ko Apni Ankh Aur Apne Dil Se Dekha?

Hadrat Hasan Basri Radi-Allahu Taala Anh Qasam Khaate The KennHuzoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Shab E Meraaj Apne Rab Ka Deedar Kiya.

Hadrat Imam Ahmad Ne Farmaya Ke

Huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Apne Rab Ko Dekha, Usko Dekha, Usko Dekha. Imam Saheb Ye Farmaate Rahe Yahan Tak Ke Unka Saans Toot Gaya.

(2) Huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam Gaib Jaante Hain.

Is Hadees Mein Jo Ilm E Gaib Ki Nafi Hai Usse Muraad Ilm E Zaati Hai Na Ke Ataai.

Warna Wo Uloom E Khamsa (5 Baato Ka Ilm) Jis Ke Baare Mein Irshad Hua Ke Wo Sirf Allah Hi Jaanta Hai.

Ahadees Se Nabi E Kareem Ke Liye Wo Uloom E Khamsa Saabit Hai.

Maan Ke Pet Mein Kya Hai

Hadrat Ummul Fadl Radi-Allahu Taala Anha Se Riwayat Hai Ke Mai. Huzoor E Aqdas Sallallahu Alaihe Wasallam Ke Samne Se Ho Kar Guzri, Huzoor Ne Farmaya: Tu Haamila Hai Aur Tere Pet Mein Ladka Hai, Jab Wo Paida Ho To Use Mere Huzoor Laana. (Lambi Hadees Hai Iske Akheer Mein Hai Ke).

Ummul Fadl Farmaati Hain: Jab Ladka Paida Hua Mai Khidmat E Aqdas Mein Haazir Hui, Huzoor Ne Bachche Ke Daahine Kaan Mein Azan Aur Baayein Kaan Mein Iqamat Farmaayi Aur Apna Lo-aab E Dehan E Aqdas Uske Munh Mein Daala Aur Uska Naam Abdullah Rakha,

Farmaya: Le Jaao Khulafa Ke Baap Ko. ab Hadrat Abbas Ko Is Ki Khabar Hui, Wo Khidmat E Aqdas Mein Hazir Hue Aur Arz Ki:

Ummul Fadl Ne Aisa Aisa Kaha.

Huzoor Ne Farmaya: Baat Wahi Hai Jo Hum Ne Kahi, Ye Khaleefo Ka Baap Hai, Yahan Tak Ke In Mein Se Saffaah Hoga. Yahan Tak Ke In Mein Se Mehdi Hoga.

(Dalailun Nabuwwah Li Ibn E Nuaim)

Hazrat Abdullah Bin Umar radiaAllahu taala anhu Se Riwayat Hai Ke

RasoolAllah Sallallahu Alaihe Wasallam Umme Ibaraheem Hazrat Mariya Qabtiya RadiAlllahu Taala Anha Ke Pass Tashreef Le Gaye.

JabKe Hazrat Ibraheem Aapke Shikam Mubarak Mein The. (Aur Hadees Zikr Ki Aur Usme Hai) Ke Jibraeel Alahi Salatu Watasleem Mere Pass Aaye Aur Mujhe Musdah Sunaya Ke Mariya Ke Pet Mein Mujh Se Ladka Hai.

Woh Tamaam Makhlooq Se Zaaid Mujhse Mushabeh, Unho Ne Mujh Se Kaha Ke Main Uska Naam Ibraheem Rakhu Aur Jibraeel Ne Meri Kunniyat Abu Ibraheem Rakhi.

Sayyedna Imam Ahmad Raza Muhaddis E Barelvi Quddisa Sirruh Farmaate Hai

Imam Suyuti Ne Iski Sanad Hasan Batayi:

To Huzoor E Aqdas Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Woh Jaan Liya Jo Pet Mein Tha Aur Woh Jaana Jo Usse Bohot Hai Ke Woh Jaan Liya Jo Pet Ke Bachche Ki Peeth Mein Hai. Aur Woh Jaan Liya Jo Pet Ke Bachche Ke Pet Wale Ke Peeth Mein Hai.

Balke Woh Jaan Liya Jo Kayi Pusht Neeche Tak Pet Ke Bachche Ki Peeth Wale Ki Peeth Mein Hai.

Isliye Huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ke Khalifon Ke Baap Ko Le Jao Ke Aur Farmaya Isi Mein Saffah Hai Isi Mein Mehdi Hain.

Pata Ye Chala Ke Huzoor Allah Ki Ataa Se Jaante Hain Ke Maan Ke Pet Mein Kya Hai.(Huzoor Ko Apne Wisaal Ka Maqaam Aur Waqt Khoob Maloom Tha)

Hazrat Abu Huraira radiAllahu taala anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Irshad Farmaya: Aye Ansaar E Madina Hamari Zindagi Wahan Hai Jahan Tumhaari Zindagi Hai Aur Hamara Inteqaal Wahan Jahan Tumhari Maut.

(Ahmad, Baihaqi, Tareekh Damishq) Kaun Kahan Marega

Hadrat Anas Radi-Allahu Taala Anh Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Sahaba E Kiraam Ridwanullah Taala Alaihim Ajmaeen Ko Elaan Diya To Wo Chale Yahan Tak Ke Badr Mein Utre, Rasoolullah Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Zameen Par Jagah Jagah Dast E Aqdas Rakh Kar Bataaya Ke Ye Fulaan Kafir Ke Pichharne Ki Jagah Hai Aur Ye Fulaan Ki.

Hadrat Anas Farmate Hain: Jis Ke Liye Rasoolullah Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Jahan Hath Rakh Kar Farmaya Tha Wahin Uski Lash Giri Usse Aslan Tajaawuz Na Ki.

(Muslim, Nasai, Ahmad, Baihaqi)

Barish Kab Hogi.

Hadrat Abdullah Bin Abbas Radi-Allahu Taala Anhuma Se Riwayat Hai Ke Baadal Chhaya To.

Huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam Bar Aamad Hue Aur Irshad Farmaya:

Ek Farishta Baadalo Ka Muwakkil Meri Khidmat Mein Hazir Hua, Mujhe Salam Kiya Aur Khabar Di Ke Wo Chalayega Baadalo Ko Yamen Ke Ek Naale Ki Taraf Jise Dareeh Kehte Hai.

Phir Hamare Paas Uske Baad Ek Sawaar Aaya, Hum Ne Usse Baadal Ki Nisbat Daryaaft Kiya, To Usne Khabar Di Ke Us Din Paani Barsa

(Dalailun Nabuwwah Lil Baihaqi)

Qiyamat Kab Aayegi

Hazrat Abu Saeed Khudri radiAllahu Taala Anhu Se Riwayat Hai Ke.

Rasoolullah Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Irshad Farmaya, Main Kyunkar Chain Lun Halanke Soor Waale Ne Munh Mein Le Liya Hai Aur Kaan Lagaye Maatha Jhukaye Huwe Intezaar Kar Raha Hai Ke Kab Soor Phoonkne Ka Hukm Diya Jaye.

Lehaza Woh Phoonkega, Sahaba E Kiraam Ridwanullahi Alaihim Ajmaeen Ne Arz Ki Ham Kya Kahein?

Farmaya: Kaho Hamein Kaafi Hai Allah Or Behtar Kaam Banaane Wala.

Hazrat Zaid Bin Arqam RadiAllahu Tala Anhu Se Riwayat Hai Ke

Rasoolullah Sallallahu Alaihe Wasallam Ne Irshad Farmaya: Main Kaise Chain Lun Halanke Soor Phoonkne Wale Farishte Ne Soor Munh Mein Le Liya Hai.

Peshaani Jhuka Li Hai Aur Kaan Lagaye Muntazir Hai Ke Kab Hukm Mile, Sahaba E Kiraam Radi-Allhu Taala Anhum Ajmaeen Ko Jab Maloom Huwa To Un Par Dushwaar Guzra.

Huzoor Ne Farmaya Tum Hasbunallahu Wa Ne-mal Wakeel? Padha Karo.

Imam Ajal Abu Zakaria Nawavi Rahmatullah Alaih Apne Fatawa Phir Imam Ibn E Hajar Makki Rahmatullah Taala Alaihi Apne Fatawa Hadeesiya Mein Farmaate Hain.

(Mafhoom) Yaani Aayat Mein Gair E Khuda Se Nafi E Ilm E Gaib Ke Yeh Mana Hain.

Ke Gaib Apni Zaat Se Be Kisi Ke Bataye Jaanna Aur Aisa Ilm Ke Jamee E Malumat E Ilahiya Ko Muheet Ho Jaaye Ye Allah Taala Ke Siwa Kisi Ko Nahi.

Rahe Ambiya Ke Mojize Aur Auliya Ki Karamatein Yahan To Allah Azz Wa Jalla Ke Bataane Se Inhe Ilm Huwa Hai.

Yun Hi Woh Batein Ke Aadat Ki Mutabaqat Se Jinka Ilm Hota Hai.

Aala Hazrat Farmaate Hain:

Mukhalifeen Ka Istedlaal Mehez Baatil Wa Khayaal E Muhaal Hona To Yahin Se Zahir Ho Gaya.

Magar Faqeer Ne Apne Rasail Mein Saabit Kiya Hai Ke Istedlaal In Dhalaal Ke Khud Iqraari Kufr O Dhalaal Ka Tamga Hai, Neez Inhe Mein Woh Roshan Kiya Ke Khalq Ke Liye Iddiaaye Ilm E Gaib Par Fuqha Ka Hukm E Kufr Bhi Darja E Ulaaye Haqiqat E Haq Mein Usi Soorat Ilm E Zaati Aur Darja E Ukhraaye Tarz E Fuqhaa Mein Ilm E Mutlaq Ba Mana Marqoom Ke Saath Makhsoos Hai.

Jaisa Ke Muhaqiqeen Ke Kalaam Mein Mansoos Hai.

Bakr Pur Makr Ka Woh Zam E Mardood Jis Mein Huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ki Nisbat (Kuch Nahi Jante) Ka Lafz E Na Paak Hai Ke Wo Bhi Kalima E Kufr O Dhalal Bebaak Hai.

Mazkooarah Ahadees O Aqwal E Fuqaha Ki Roshni Mein Ye Baat Bilkul Waazeh Ho Gayi Ke Allah Ki Ataa Se Us Ke Mahboob Bande Bhi Gaib Jaante Hain.

Balke Un Guyoob Par Bhi Muttala Hain Jin Guyoob Se Mutalliq Quran Mein Saraahat Aayi Hai.

Wa-Allahu Taala Alam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah

Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi

Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love