Jawab:
Jaise Namaz Mein Khade Hota Hai Waise Khade Ho.
Kamaale Adab Wa Haibat Wa Khauf Wa Ummid Ke Saath Kandile Aqdas Ke Neeche Us Chandi Ki Keel Ke Samne Jo Hujra E Mutahrah Ki Dakheeni Deewar Mein Chara E Anwar Ke Mukabil (Samne) Lagi Hai.
Kam Se Kam Chaar, Haath Ke Faasile Se Kibla Ko Peeth Aur Mazar E Anwar Ko Muh KarKe Namaz Ki Tarah Hath Bandhe Khade Ho.
Lubaab Wa Sharahe Lubaab Wa Ikhtiyaar Sharah Mukhtar Wa Fatawa Aalamgeeri Wagairah MoAtabar Kitabo Mein Is Adab Ke Baarein Mein Saaf Saaf Likha Hai Ki
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Saamne Aisa Khada Ho Jaise Namaz Mein Khada Hai.
Yah Ibarat Aalamgeeri Wa Ikhtiyaar Ki Hai Aur Lubaab Mein Farmaya
Dastbasta Dahna Haath Baayein Par Rakh Kar Khada Ho.
Khabardar Jaali Sharif Ko Bosa Dene, Ya Haath Lagane Se Bache Ki Adab Ke Khilaf Hai.
Balki Chaar Haath Faasile Se Jyaada Karib Na Jao.
Yah Un Ki Rahmat Kya Kam Hai Ki Tum Ko Apne Huzoor Bulaya.
Apne Muwaajah-E-Aqdas
Yaani Mazaar Sharif Ke Bilkul Saamne Jagah Bakshi.
Un Ki Rahmat Aur Nigaahe Karam Agarche Har Jagah Tumhari Taraf Thi.
Ab Khususiyat Aur Is Darja Kurb (Nazdiki) Ke Saath Hai
Walillahil Hamd
Bahare Shariat Hissa 06 Safa 139
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi