Shaban ke akhri hafte mein umrah kiya

Aur Ramzan Sharif Mein Madina Sharif chala gaya Aur Eid Madina sharif mein karke shawaal mein bombay aane ke liye Jeddah ho kar bombay ki flight lekar wapas aa gaya.

Is soorat mein agar woh hajj nahi kiya ho, to kya us par Hajj usi saal Farz ho jayega?

Aur agar woh direct flight mein Madina sharif se bombay aa gaya tab kya hukum hoga?

Aur agar Madina Sharif se riyadh jayein aur riyad se flight lekar bombay aa gaya, tab kya hukum hoga?

Aur agar Hajj usi saal farz ho jayega aur uski isteta’at na ho to woh Shaksh kya karein?

Jawab:

Is silsile mein fatwa is par hai ke jo sahib isteta’at ho.

Yaani wahan ruk karke wo hajj kar sakta hai, to us par hajj farz hoga.

Aur agar hindustan wapis aaya aur phir hindustan se wahan jaane ki isteta’at hai, to us saal hi hajj farz hoga.

Aur agar isteta’at nahi hai ke wo hajj ke liye ja sake, to us par hajj farz nahi hoga.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love