Hajj karne wale par 10vi Zilhijjah ko kitne Ghusl hai?

Jawab:

Hajj karne wale par 10vi Zilhijjah ko 5 Ghusl Hai.

1) Muzdalfa mein Tahrne
2) Mina mein daakhil hone.
3) Jamre par Kankariyaan Maarne
4) Makke mein daakhil hone.
5) Aur Kaaba Sharif ke Tawaf karne ke Liye Ghusl Hai.

Jab ki 3,4 Aur 5 yah teen peechle kaam bhi 10ve hi ko karein Aur Jume ka din hai. To jume ka Ghusl karein.

Aise hi Agar Arfa ya Eid jume ke din pade to yaha walo par 2 Ghusl hai.

Jis par chand Ghusl ho Sab ki Niyat se Ek Ghusl kar Liya, To Sab Ada Ho jayega Aur sab ka sawab milega.

Aur Aurat par nahana Zaruri ho Aur Usne Abhi Ghusl Nahi Kiya Hai Aur Isi Beech Use Haiz Shuru Ho gaya.

To Chahein Ab Naha Le, Ya Haiz khatam hone ke baad Nahaye Use Ikhtiyaar Hai.

Agar Kisi par Ghusl Wajib ho Aur wah Juma ya Eid ke din nahaya Aur Juma aur Eid Wagairah ki niyat karli.

To sab Ada ho gaya Aur Usi Ghusl se Juma Aur Eid ki Namaz Padh sakta hai.

Bahar e Shariat

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love