Hajj mein kitni sunnatein hai?

Hajj ki 15 Sunnatein hai.

(1) Tawaf-E-Qudum: Ya’ani Meekaat ke baahar Se Aane Wala Makka Muazzama mein Haajir Ho kar Sab Se Pahla Jo Tawaf karein Use Tawaf-E-Qudum (Pehla Tawaf) Kahte Hai.

Tawaaf-E-Qudum Mufreed Aur Kaarin ke Liye Sunnat Hai Mutmatte’a ke liye nahi.

(2) Tawaf ka Hazre Aswad Se Shuru Karna.

(3) Tawaf-E-Qudum Ya Tawaf-E-Farz Mein Ramal Karna.nnYaani Akad kar Chalna

(4) Safa Wa Marwa ke Darmiyan jo do Sabz meel hai. Ya’ani Hare Rang ke Nishaan Hai Unke Darmiyan Dood Na.

(5) Imam ka Makka Mein Saatvi ko.

(6) Aur Arfaat Mein 9vi ko.

(7) Aur Meena Mein 11vi ko Khutba Padhna.

(8) 8vi ki Farz ke baad Makka Se Rawana hona ki meena mein 5 Namaze Padh lee jayein.

(9) 9vi Raat meena mein guzarna.

(10) Aftab Nikal ne ke baad Meena se Arafat Ko Rawana Hona.

(11) Wookuf-E-Arfah ke liye Gusl Karna.

(12) Arafat Se Waapsi mein Muzdalifa mein Raat Ko Rahna.

(13) Aftab Nikal Ne Se Pahle Yahaan Se Mina Ko Chala Jaana.

(14) 10vi Aur 11vi ke baad jo Dono Raate Hai Unko Meena Mein Guzarna Aur Agar 13vi ko bhi meena mein raha to 12vi ke baad ki Raat ko bhi meena mein Rahein.

(15) Abtah: Ya’ani Waadi-E-Muhssab mein Utarna.

Agarche thodi der ke liye ho Aur Inke Alawa Aur Bhi Sunnate Hai.

Bahar-E-SahariAt Hissa 06 Safa 18,19

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love