Zaid Sunni Muslim Hai Usko Dusre Sunni Muslim Ne Dhoka De Kar Paise Liye

Ab un paisa ko lautane ki jagah un paiso ko dusri tijarat mein lagaye aur abhi umrah / hajj kar raha hai.

Ghumta firta hai jisko dhoka diya hai usko paise lautane ka naam nahi le raha hai.

Toh kya is tarike se hajj aur umrah quboole bargah hai. Jab ke zaid kehta hai ke mein haalaf uthaney ko tayyar hu maine ek pal ke liye bhi dilse usko maaf nahi kiya hai.

Zaid baar baar paise talab karna chahta hai par wo banda shateer hai.

Har baar jhooth bol kar baat se muqar jata hai.

Paise ke len den ki koi likhat padhat naa hone ki wajah se koi saboot nahi hai ke koi kanooni karwai ho sake.

Jawab:

Qarz Lene Ke Baad Qarz Khwaah Ke Shadeed Talab Par Bhi Wusat Hote Qarz Na Lautaana Huqooq E Ibaad Mein Giriftaari Ka Sabab Hai.

Aur Aisi Haalat Mein Inteqaal Ho Jaayein, To Aakhirat Mein Bahut Sakht Hisaab Hoga.

Laazim O Zaroori Hai Ke Pahle Qarz Ada Karein Phir Hajj O Umarah Wagairah Karein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love