Saee Mein Paidal Chalna jab ki koi ujr naho?

Mas’Ala: Saee ke liye Taharat Sharth Nahi hai. Haiz wali Aurat junub bhi saee kar sakta hai.

Mas’Ala: Saee mein paidal chalna wajib hai. Jab ki ujr naho.

Lehaja Agar sawari Aur dool wagairah par saee ki ya paanv se na chala.

Balki ghaseetta huwa gaya, to halate ujr mein mua’af hai Aur bagair ujr aisa kiya to dam wajib hai.

Mas’Ala: Saee mein sattr e Aurat Sunnat hai.

Yaani Agarche sattr ka chupana farz hai.

Magar is halat mein Farz ke Alawa sunnat bhi hai ki Agar sattr khula Raha to uski wajah se kaffara wajib nahi.

Magar Ek Gunaah Farz ke tark ka huwa dusra sunnat ke tark ka.

Bahare shariat Hissa 06 Safa 61

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love