Ya Nakhun Tarashna Ya Kisi Jagah Ke Baal Mundana Ya Katrana Ya Ukhadna Kaisa Hai?
Mas’Ala: Mayyat ki dhadi, Ya Sar ke Baal mein kangah karna, ya nakhun tarashna, ya kisi jagah ke baal mundana, ya katrana, ya ukhadna Naajayez wa Makrooh e Tahrimi Hai.
Balki yah hukm hai ki jis halat par hai usi halat par dafan karde.
Haan Agar Naakhun tuta ho, to le sakte hai Aur Agar Naakhun, Ya Baal Taraash liye to kafan mein rakh de.
(Durre Mukhtaar, Raddul Muhtaar,Aalamgeeri)
Mas’Ala: Mayyat ke dono haath karwato mein parkhe seene pe na rakhe ki Yah Kiffar ka tarika hai.
Jaise namaz mein qiyam me yah bhi na karein.
Bahar-e-sahariat 4th Hissa safa 112
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi